kuch rishton mein bat jaata hai | कुछ रिश्तों में बट जाता है - Ajit Singh Badal

kuch rishton mein bat jaata hai
tera pyaar bhi ghat jaata hai

bhaanp ke chadar ki kotaahi
tan bhi mera simat jaata hai

log bhula dete hain us ko
jo manzar se kat jaata hai

mitti ki shah pa kar pauda
gamle mein bhi dat jaata hai

tum se milne aa jaata hoon
jab jee mera uchat jaata hai

tota bhi pandit ke ghar ka
ik do mantr rat jaata hai

baansuri bante bante baadal
baans ka seena phat jaata hai

कुछ रिश्तों में बट जाता है
तेरा प्यार भी घट जाता है

भाँप के चादर की कोताही
तन भी मेरा सिमट जाता है

लोग भुला देते हैं उस को
जो मंज़र से कट जाता है

मिट्टी की शह पा कर पौदा
गमले में भी डट जाता है

तुम से मिलने आ जाता हूँ
जब जी मेरा उचट जाता है

तोता भी पंडित के घर का
इक दो मंतर रट जाता है

बाँसुरी बनते बनते बादल
बाँस का सीना फट जाता है

- Ajit Singh Badal
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajit Singh Badal

As you were reading Shayari by Ajit Singh Badal

Similar Writers

our suggestion based on Ajit Singh Badal

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari