guzar gai hai abhi saaat-e-guzishta bhi | गुज़र गई है अभी साअत-ए-गुज़िश्ता भी

  - Ajmal Siraj

guzar gai hai abhi saaat-e-guzishta bhi
nazar utha ki guzar jaayega ye lamha bhi

bahut qareeb se ho kar guzar gai duniya
bahut qareeb se dekha hai ye tamasha bhi

guzar rahe hain jo baar-e-nazar uthaaye hue
ye log mahv-e-tamaasha bhi hain tamasha bhi

vo din bhi the ki tiri khwaab-geen nigaahon se
pukaarti thi mujhe zindagi bhi duniya bhi

jo be-sabaati-e-aalam pe bahs thi sar-e-bazm
main chup raha ki mujhe yaad tha vo chehra bhi

kabhi to chaand bhi utarega dil ke aangan mein
kabhi to mauj mein aayega ye kinaara bhi

nikaal dil se gaye mausamon ki yaad ajmal
tiri talash mein imroz bhi hai farda bhi

गुज़र गई है अभी साअत-ए-गुज़िश्ता भी
नज़र उठा कि गुज़र जाएगा ये लम्हा भी

बहुत क़रीब से हो कर गुज़र गई दुनिया
बहुत क़रीब से देखा है ये तमाशा भी

गुज़र रहे हैं जो बार-ए-नज़र उठाए हुए
ये लोग महव-ए-तमाशा भी हैं तमाशा भी

वो दिन भी थे कि तिरी ख़्वाब-गीं निगाहों से
पुकारती थी मुझे ज़िंदगी भी दुनिया भी

जो बे-सबाती-ए-आलम पे बहस थी सर-ए-बज़्म
मैं चुप रहा कि मुझे याद था वो चेहरा भी

कभी तो चाँद भी उतरेगा दिल के आँगन में
कभी तो मौज में आएगा ये किनारा भी

निकाल दिल से गए मौसमों की याद 'अजमल'
तिरी तलाश में इमरोज़ भी है फ़र्दा भी

  - Ajmal Siraj

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Siraj

As you were reading Shayari by Ajmal Siraj

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Siraj

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari