ye jo ik shaakh hai hari thi abhi | ये जो इक शाख़ है हरी थी अभी - Akbar Masoom

ye jo ik shaakh hai hari thi abhi
us jagah par koi pari thi abhi

sar-basar rang-o-noor se labreiz
ik suraahi yahan dhari thi abhi

khaak kaisi hai mere paanv tale
saath rangon ki ik dari thi abhi

is kharaabe mein koi aur bhi hai
aah kis ne yahan bhari thi abhi

saanehaa koi yaa se guzra hai
ye fazaa kyun dari dari thi abhi

main basaata tha us ke dil mein ghar
aur qismat mein be-ghari thi abhi

kyun na karte hum us ki dildaari
us mein kuch khoo-e-dilbari thi abhi

ये जो इक शाख़ है हरी थी अभी
उस जगह पर कोई परी थी अभी

सर-बसर रंग-ओ-नूर से लबरेज़
इक सुराही यहाँ धरी थी अभी

ख़ाक कैसी है मेरे पाँव तले
सात रंगों की इक दरी थी अभी

इस ख़राबे में कोई और भी है
आह किस ने यहाँ भरी थी अभी

सानेहा कोई याँ से गुज़रा है
ये फ़ज़ा क्यूँ डरी डरी थी अभी

मैं बसाता था उस के दिल में घर
और क़िस्मत में बे-घरी थी अभी

क्यूँ न करते हम उस की दिलदारी
उस में कुछ ख़ू-ए-दिलबरी थी अभी

- Akbar Masoom
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Masoom

As you were reading Shayari by Akbar Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Masoom

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari