khwaab aaraam nahin khwaab pareshaani hai | ख़्वाब आराम नहीं ख़्वाब परेशानी है - Akbar Masoom

khwaab aaraam nahin khwaab pareshaani hai
mere bistar mein aziyyat ki faraavani hai

mujh ko to vo bhi hai maaloom jo maaloom nahin
ye samajh-boojh nahin hai meri nadaani hai

kuch use sochne deta hi nahin apne siva
mera mehboob to mere liye zindaani hai

hai museebat mein girftaar museebat meri
jo bhi mushkil hai vo mere liye aasaani hai

mauja-e-may hai bahut mere sukoon par betaab
zabt-e-girya se mere jaam mein tughyaani hai

main gunahgaar-e-tamanna hoon mujhe qatl karo
dil to haara hai magar haar nahin maani hai

ख़्वाब आराम नहीं ख़्वाब परेशानी है
मेरे बिस्तर में अज़िय्यत की फ़रावानी है

मुझ को तो वो भी है मालूम जो मालूम नहीं
ये समझ-बूझ नहीं है मिरी नादानी है

कुछ उसे सोचने देता ही नहीं अपने सिवा
मेरा महबूब तो मेरे लिए ज़िंदानी है

है मुसीबत में गिरफ़्तार मुसीबत मेरी
जो भी मुश्किल है वो मेरे लिए आसानी है

मौजा-ए-मय है बहुत मेरे सुकूँ पर बेताब
ज़ब्त-ए-गिर्या से मिरे जाम में तुग़्यानी है

मैं गुनहगार-ए-तमन्ना हूँ मुझे क़त्ल करो
दिल तो हारा है मगर हार नहीं मानी है

- Akbar Masoom
0 Likes

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Masoom

As you were reading Shayari by Akbar Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Masoom

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari