aarzoo jaaga karegi aur so jaaunga main
rafta-rafta ek din patthar ka ho jaaunga main
kaun si shay shehar ki phir rok paayegi mujhe
be-dili jis din badhi sehra mein kho jaaunga main
jab talak hoon pyaar se baatein karo baitho qareeb
waqt guzra aur guzri yaad ho jaaunga main
farsh tasveerein diwaaren sab hue aakhir hazeen
neend ke shaanon ko kar ke yaad ro jaaunga main
ho sake to tod dena phool ki chadar ki rasm
geet gaana khaar ke kal ko jo so jaaunga main
आरज़ू जागा करेगी और सो जाऊँगा मैं
रफ़्ता-रफ़्ता एक दिन पत्थर का हो जाऊँगा मैं
कौन सी शय शहर की फिर रोक पाएगी मुझे
बे-दिली जिस दिन बढ़ी सहरा में खो जाऊँगा मैं
जब तलक हूँ प्यार से बातें करो बैठो क़रीब
वक़्त गुज़रा और गुज़री याद हो जाऊँगा मैं
फ़र्श तस्वीरें दिवारें सब हुए आख़िर हज़ीं
नींद के शानों को कर के याद रो जाऊँगा मैं
हो सके तो तोड़ देना फूल की चादर की रस्म
गीत गाना ख़ार के कल को जो सो जाऊँगा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhilesh Chandra Pandey
our suggestion based on Akhilesh Chandra Pandey
As you were reading Tamanna Shayari Shayari