yun bhatkna dar-b-dar achha nahin lagta mujhe
bin tumhaare ye safar achha nahin lagta mujhe
pyaar ke is khel mein anjaam sab ka ek hai
tootna dil ka magar achha nahin lagta mujhe
aasraa allah ka kaafi hai insaan ke liye
haath faila kar bashar achha nahin lagta mujhe
main bura hoon ye bhala apni ana mein mast hoon
kyun udhar jaaun jidhar achha nahin lagta mujhe
aane waali nasl ke haq mein duaaein kijie
phool se chehron pe dar achha nahin lagta mujhe
hoti hai bacchon se raunaq har dar-o-deewar ki
bin parindon ke shajar achha nahin lagta mujhe
jin gharo mein ho nahin shaamil dua maa-baap ki
koi bhi ghar ho vo ghar achha nahin lagta mujhe
यूँ भटकना दर-ब-दर अच्छा नहीं लगता मुझे
बिन तुम्हारे ये सफ़र अच्छा नहीं लगता मुझे
प्यार के इस खेल में अंजाम सब का एक है
टूटना दिल का मगर अच्छा नहीं लगता मुझे
आसरा अल्लाह का काफ़ी है इंसाँ के लिए
हाथ फैला कर बशर अच्छा नहीं लगता मुझे
मैं बुरा हूँ ये भला अपनी अना में मस्त हूँ
क्यूँ उधर जाऊँ जिधर अच्छा नहीं लगता मुझे
आने वाली नस्ल के हक़ में दुआएँ कीजिए
फूल से चेहरों पे डर अच्छा नहीं लगता मुझे
होती है बच्चों से रौनक़ हर दर-ओ-दीवार की
बिन परिंदों के शजर अच्छा नहीं लगता मुझे
जिन घरों में हो नहीं शामिल दुआ माँ-बाप की
कोई भी घर हो वो घर अच्छा नहीं लगता मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Azad
our suggestion based on Akhtar Azad
As you were reading Dar Shayari Shayari