khud-faramosh jo paaya hai mujhe duniya ne | ख़ुद-फ़रामोश जो पाया है मुझे दुनिया ने - Akhtar Bastavi

khud-faramosh jo paaya hai mujhe duniya ne
mere haathon se bhi lootaa hai mujhe duniya ne

dil to be-daam bika zehan ki qeemat na lagi
kaise bazaar mein becha hai mujhe duniya ne

waqf-e-jazbaat na hone ki saza di hai ajab
aatish-e-sard mein phoonka hai mujhe duniya ne

hum-safar mujh ko banaane se gurezaan hai magar
har naye mod pe dhoonda hai mujhe duniya ne

be-asar meri futuhaat rahi hain akhtar
main jo haara hoon to pooja hai mujhe duniya ne

ख़ुद-फ़रामोश जो पाया है मुझे दुनिया ने
मेरे हाथों से भी लूटा है मुझे दुनिया ने

दिल तो बे-दाम बिका ज़ेहन की क़ीमत न लगी
कैसे बाज़ार में बेचा है मुझे दुनिया ने

वक़्फ़-ए-जज़्बात न होने की सज़ा दी है अजब
आतिश-ए-सर्द में फूँका है मुझे दुनिया ने

हम-सफ़र मुझ को बनाने से गुरेज़ाँ है मगर
हर नए मोड़ पे ढूँडा है मुझे दुनिया ने

बे-असर मेरी फ़ुतूहात रही हैं 'अख़्तर'
मैं जो हारा हूँ तो पूजा है मुझे दुनिया ने

- Akhtar Bastavi
0 Likes

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Bastavi

As you were reading Shayari by Akhtar Bastavi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Bastavi

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari