yun khud ko khwaahishaat ke akshar dikhaaye rang | यूँ ख़ुद को ख़्वाहिशात के अक्सर दिखाए रंग - Akhtar Bastavi

yun khud ko khwaahishaat ke akshar dikhaaye rang
holi mein jaise koi akela udaaye rang

dil se bhula ke zehan ki veeraaniyon ka gham
deewar-o-dar pe sab ne hain kya kya sajaaye rang

tasveer jo banaai hai apnon ke vaaste
dar hai ki us mein log na dhunden paraaye rang

tohfe main doon kisi ko ye hasrat hi rah gai
muddat se chutkiyon mein hoon main bhi dabaye rang

rangeeni-e-hayaat ne us se wafa na ki
jis ne meri nigaah mein akhtar basaaye rang

यूँ ख़ुद को ख़्वाहिशात के अक्सर दिखाए रंग
होली में जैसे कोई अकेले उड़ाए रंग

दिल से भुला के ज़ेहन की वीरानियों का ग़म
दीवार-ओ-दर पे सब ने हैं क्या क्या सजाए रंग

तस्वीर जो बनाई है अपनों के वास्ते
डर है कि उस में लोग न ढूँडें पराए रंग

तोहफ़े मैं दूँ किसी को ये हसरत ही रह गई
मुद्दत से चुटकियों में हूँ मैं भी दबाए रंग

रंगीनी-ए-हयात ने उस से वफ़ा न की
जिस ने मिरी निगाह में अख़्तर बसाए रंग

- Akhtar Bastavi
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Bastavi

As you were reading Shayari by Akhtar Bastavi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Bastavi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari