soz-e-daroon se jal-bujho lekin dhuaan na ho | सोज़-ए-दरूँ से जल-बुझो लेकिन धुआँ न हो - Akhtar Bastavi

soz-e-daroon se jal-bujho lekin dhuaan na ho
hai dard-e-dil ki shart ki lab par fugaan na ho

phir ho raha hai shor-e-sala-e-nabard-e-ishq
haan ai dahan-e-zakhm jawaab al-amaan na ho

bazaar-e-jaan-farosh mein sauda na ho ye kya
gaahak mile to jins to ye bhi garaan na ho

is dard-e-la-jawaab ki kyunkar karoon dava
vo haal-e-dil-nasheen bhi to mujh se bayaan na ho

kya faaeda gar us ne chhupaaya bhi dard-e-dil
ye kaam jab bane ki mizaa khoon-chakaan na ho

kya kijeye chun ke maayeda-e-dil ko lakht lakht
tera hi teer seene mein jab mehmaan na ho

khof-e-raqeeb ka to ye aalam aur us pe ishq
sab chahte hain chaah ka un par gumaan na ho

hai vasl-e-yaar ki bhi tamannaa ka hausla
dar ye bhi hai ki tabb-e-adu par giran na ho

pahluu se dil ko le ke vo kahte hain naaz se
kya aayein ghar mein aap hi jab mezbaan na ho

sunte hi jis ke khalk se kohraam mach gaya
jauhar vo teri hi to kahi dastaan na ho

सोज़-ए-दरूँ से जल-बुझो लेकिन धुआँ न हो
है दर्द-ए-दिल की शर्त कि लब पर फ़ुग़ाँ न हो

फिर हो रहा है शोर-ए-सला-ए-नबर्द-ए-इश्क़
हाँ ऐ दहान-ए-ज़ख़्म जवाब अल-अमाँ न हो

बाज़ार-ए-जाँ-फ़रोश में सौदा न हो ये क्या
गाहक मिले तो जिंस तो ये भी गराँ न हो

इस दर्द-ए-ला-जवाब की क्यूँकर करूँ दवा
वो हाल-ए-दिल-नशीं भी तो मुझ से बयाँ न हो

क्या फ़ाएदा गर उस ने छुपाया भी दर्द-ए-दिल
ये काम जब बने कि मिज़ा ख़ूँ-चकाँ न हो

क्या कीजे चुन के माएदा-ए-दिल को लख़्त लख़्त
तेरा ही तीर सीने में जब मेहमाँ न हो

ख़ौफ़-ए-रक़ीब का तो ये आलम और उस पे इश्क़
सब चाहते हैं चाह का उन पर गुमाँ न हो

है वस्ल-ए-यार की भी तमन्ना का हौसला
डर ये भी है कि तब्अ'-ए-अदू पर गिराँ न हो

पहलू से दिल को ले के वो कहते हैं नाज़ से
क्या आएँ घर में आप ही जब मेज़बाँ न हो

सुनते ही जिस के ख़ल्क़ से कोहराम मच गया
'जौहर' वो तेरी ही तो कहीं दास्ताँ न हो

- Akhtar Bastavi
0 Likes

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Bastavi

As you were reading Shayari by Akhtar Bastavi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Bastavi

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari