hai rashk kyun ye hum ko sar-e-daar dekh kar | है रश्क क्यों ये हम को सर-ए-दार देख कर - Akhtar Bastavi

hai rashk kyun ye hum ko sar-e-daar dekh kar
dene hain baada zarf-e-qadh-khwaar dekh kar

khud-karda-e-azl se tajallii-e-toor ke
jhapke ki aankh kya tiri talwaar dekh kar

aasaan-pasandiyo se hain bezaar ahl-e-ishq
chhaanta ye marhala bhi hai dushwaar dekh kar

ban jaayega ye rishta-e-tasbeeh ek din
dhoka na khaaiyo kahi zunnar dekh kar

is shaan-e-imtiyaaz ko ki ahl-e-tahaif
mumin samajh rahe hain humein khwaar dekh kar

jins-e-giraan to thi nahin koi magar ye jaan
laaye hain hum bhi raunaq-e-baazar dekh kar

teer-e-nigah ne kar diya dono ka faisla
baaham dil-o-jigar mein ye takraar dekh kar

ye kya ki sajda-gaah hai har sang-e-aastaan
ghisna jabeen ko ko khaana-e-khamaar dekh kar

kuch bhi to zabt-e-girya na shabnam se ho saka
bulbul ko fasl-e-gul mein girftaar dekh kar

hum khaasgaan-e-ahl-e-nazar aur ye qatl-e-aam
jaur-o-sitam bhi kar tu sitamgaar dekh kar

har seena aaj hai tire paikaan ka muntazir
ho intikhaab ai nigah-e-yaar dekh kar

है रश्क क्यों ये हम को सर-ए-दार देख कर
देने हैं बादा ज़र्फ़-ए-क़दह-ख़्वार देख कर

ख़ुद-कर्दा-ए-अज़ल से तजल्ली-ए-तूर के
झपके की आँख क्या तिरी तलवार देख कर

आसाँ-पसंदियों से हैं बेज़ार अहल-ए-इश्क़
छाँटा ये मरहला भी है दुश्वार देख कर

बन जाएगा ये रिश्ता-ए-तस्बीह एक दिन
धोका न खाइयो कहीं ज़ुन्नार देख कर

इस शान-ए-इम्तियाज़ को कि अहल-ए-तहाइफ़
मोमिन समझ रहे हैं हमें ख़्वार देख कर

जिंस-ए-गिराँ तो थी नहीं कोई मगर ये जान
लाए हैं हम भी रौनक़-ए-बाज़ार देख कर

तीर-ए-निगह ने कर दिया दोनों का फ़ैसला
बाहम दिल-ओ-जिगर में ये तकरार देख कर

ये क्या कि सज्दा-गाह है हर संग-ए-आस्ताँ
घिसना जबीन को को ख़ाना-ए-ख़म्मार देख कर

कुछ भी तो ज़ब्त-ए-गिर्या न शबनम से हो सका
बुलबुल को फ़स्ल-ए-गुल में गिरफ़्तार देख कर

हम ख़ासगान-ए-अहल-ए-नज़र और ये क़त्ल-ए-आम
जौर-ओ-सितम भी कर तू सितमगार देख कर

हर सीना आज है तिरे पैकाँ का मुंतज़िर
हो इंतिख़ाब ऐ निगह-ए-यार देख कर

- Akhtar Bastavi
0 Likes

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Bastavi

As you were reading Shayari by Akhtar Bastavi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Bastavi

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari