laakh harbe sahi har waz'a ke shaitaan ke paas | लाख हरबे सही हर वज़्अ के शैतान के पास - Akhtar Bastavi

laakh harbe sahi har waz'a ke shaitaan ke paas
dhaal eimaan ki maujood ho insaan ke paas

mulk samjho use paamaal baja hai ik deen
ab to bas ik yahi daulat hai musalmaan ke paas

lagte hi teer tumhaara gai yun jaan nikal
baith kar jaati ghadi do ghadi mehmaan ke paas

aadmiyat hi to buniyaad hai har khoobi ki
ho na ye bhi to dhara kya hai phir insaan ke paas

sohbat yaar hai ai dil tujhe ghar baithe naseeb
phir tira kaam hai kya haajib-e-darbaan ke paas

khwaahishein nafs ki karte to ho poori lekin
is se behtar nahin aala koi shaitaan ke paas

hum ne dil bhar ke kuch is tarah nikale armaan
ki fatakta nahin dil ja ke ab armaan ke paas

mat samajhna inhen kam-maaya ghani hain ye log
kanj-e-makhfi hai har ik saahib-e-imaan ke paas

jubba-saai ki bhi kuch hogi tumheen ko ummeed
gaaliyaan khaate ho ja ja ke darbaan ke paas

लाख हरबे सही हर वज़्अ के शैतान के पास
ढाल ईमान की मौजूद हो इंसान के पास

मुल्क समझो उसे पामाल बजा है इक दीन
अब तो बस इक यही दौलत है मुसलमान के पास

लगते ही तीर तुम्हारा गई यूँ जान निकल
बैठ कर जाती घड़ी दो घड़ी मेहमान के पास

आदमियत ही तो बुनियाद है हर ख़ूबी की
हो न ये भी तो धरा क्या है फिर इंसान के पास

सोहबत यार है ऐ दिल तुझे घर बैठे नसीब
फिर तिरा काम है क्या हाजिब-ए-दरबान के पास

ख़्वाहिशें नफ़्स की करते तो हो पूरी लेकिन
इस से बेहतर नहीं आला कोई शैतान के पास

हम ने दिल भर के कुछ इस तरह निकाले अरमाँ
कि फटकता नहीं दिल जा के अब अरमान के पास

मत समझना इन्हें कम-माया ग़नी हैं ये लोग
कंज़-ए-मख़्फ़ी है हर इक साहिब-ए-ईमान के पास

जुब्बा-साई की भी कुछ होगी तुम्हीं को उम्मीद
गालियाँ खाते हो जा जा के दरबान के पास

- Akhtar Bastavi
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Bastavi

As you were reading Shayari by Akhtar Bastavi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Bastavi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari