chaaho to mera dukh mera aazaar na samjho | चाहो तो मिरा दुख मिरा आज़ार न समझो - Akhtar Bastavi

chaaho to mera dukh mera aazaar na samjho
lekin mere khwaabon ko gunahgaar na samjho

aasaan nahin insaaf ki zanjeer hilaana
duniya ko jahaangeer ka darbaar na samjho

aangan ke sukoon ki koi qeemat nahin hoti
kahte ho jise ghar use bazaar na samjho

ujde hue taqon pe jamee gard ki tah mein
roo-posh hain kis qism ke asraar na samjho

ehsaas ke sau zakham bacha sakte ho akhtar
izhaar-e-muravvat ko agar pyaar na samjho

चाहो तो मिरा दुख मिरा आज़ार न समझो
लेकिन मिरे ख़्वाबों को गुनहगार न समझो

आसाँ नहीं इंसाफ़ की ज़ंजीर हिलाना
दुनिया को जहाँगीर का दरबार न समझो

आँगन के सुकूँ की कोई क़ीमत नहीं होती
कहते हो जिसे घर उसे बाज़ार न समझो

उजड़े हुए ताक़ों पे जमी गर्द की तह में
रू-पोश हैं किस क़िस्म के असरार न समझो

एहसास के सौ ज़ख़्म बचा सकते हो 'अख़्तर'
इज़हार-ए-मुरव्वत को अगर प्यार न समझो

- Akhtar Bastavi
0 Likes

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Bastavi

As you were reading Shayari by Akhtar Bastavi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Bastavi

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari