hai agar laana inqilaab naya | है अगर लाना इंक़लाब नया - Akhtar Madhupuri

hai agar laana inqilaab naya
pehle jeene ka ho hisaab naya

main ne dekha tha ek khwaab naya
aaye din ab hai iztiraab naya

pesh-e-lafz intisaab-e-baab naya
main hoon ik saahib-e-kitaab naya

main ugaata tha noor ki faslen
khwaab tha mera iktisaab naya

roo-b-roo chehra tha puraana sa
aaina deta kya jawaab naya

gum thi be-khwaabiyo mein aankh meri
dekhta kya main koi khwaab naya

un ko sunta raha main dekhe baghair
khoob tha darmiyaan hijaab naya

ik purane sawaal ka akhtar
deta kya main koi jawaab naya

है अगर लाना इंक़लाब नया
पहले जीने का हो हिसाब नया

मैं ने देखा था एक ख़्वाब नया
आए दिन अब है इज़्तिराब नया

पेश-ए-लफ़्ज़ इंतिसाब-ए-बाब नया
मैं हूँ इक साहिब-ए-किताब नया

मैं उगाता था नूर की फ़स्लें
ख़्वाब था मेरा इकतिसाब नया

रू-ब-रू चेहरा था पुराना सा
आइना देता क्या जवाब नया

गुम थी बे-ख़्वाबियों में आँख मिरी
देखता क्या मैं कोई ख़्वाब नया

उन को सुनता रहा मैं देखे बग़ैर
ख़ूब था दरमियाँ हिजाब नया

इक पुराने सवाल का 'अख़्तर'
देता क्या मैं कोई जवाब नया

- Akhtar Madhupuri
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Madhupuri

As you were reading Shayari by Akhtar Madhupuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Madhupuri

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari