ahad-e-wafaa ka qarz ada kar diya gaya | अहद-ए-वफ़ा का क़र्ज़ अदा कर दिया गया

  - Akhtar Ziai

ahad-e-wafaa ka qarz ada kar diya gaya
mahroomiyon ka dard ata kar diya gaya

phoolon ke daagh-ha-e-firozaan ko dekh kar
arzaan kuchh aur rang-e-hina kar diya gaya

waariftagaan-e-shauq ka shikwa sune baghair
gulshan supurd-e-ahl-e-jafa kar diya gaya

dil se umang lab se dua cheen li gai
kehne ko qaaidiyon ko rihaa kar diya gaya

yak-do-nafs bhi kaar-e-ziyaan ham na kar sake
khushboo ko pairhan se juda kar diya gaya

maangi thi aafiyat ki dua aagahi ka gham
pehle se bhi kuchh aur siva kar diya gaya

akhtar hawas-garaan-e-aqeedat ke faiz se
sab kuchh rawa b-naam-e-khuda kar diya gaya

अहद-ए-वफ़ा का क़र्ज़ अदा कर दिया गया
महरूमियों का दर्द अता कर दिया गया

फूलों के दाग़-हा-ए-फ़रोज़ाँ को देख कर
अर्ज़ां कुछ और रंग-ए-हिना कर दिया गया

वारफ़्तगान-ए-शौक़ का शिकवा सुने बग़ैर
गुलशन सुपुर्द-ए-अहल-ए-जफ़ा कर दिया गया

दिल से उमंग लब से दुआ छीन ली गई
कहने को क़ैदियों को रिहा कर दिया गया

यक-दो-नफ़स भी कार-ए-ज़ियाँ हम न कर सके
ख़ुशबू को पैरहन से जुदा कर दिया गया

माँगी थी आफ़ियत की दुआ आगही का ग़म
पहले से भी कुछ और सिवा कर दिया गया

'अख़्तर' हवस-गरान-ए-अक़ीदत के फ़ैज़ से
सब कुछ रवा ब-नाम-ए-ख़ुदा कर दिया गया

  - Akhtar Ziai

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ziai

As you were reading Shayari by Akhtar Ziai

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ziai

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari