hijr ki shaam se zakhamon ke doshaale maanguun | हिज्र की शाम से ज़ख़्मों के दोशाले माँगूँ

  - Akmal Imaam

hijr ki shaam se zakhamon ke doshaale maanguun
main siyaahi ke samundar se ujaale maanguun

jab nayi nasl nayi tarz se jeena chahe
kyun na us ahad se dastoor niraale maanguun

apne ehsaas ke sehra mein taqaddus chaahoon
apne jazbaat ki ghaati mein shivaale maanguun

apni aankhon ke liye dard ke aansu dhundhun
apne qadmon ke liye phool se chaale maanguun

har naye mod pe chaahoon naye rishton ka hujoom
har qadam par main naye chaahne waale maanguun

apne ehsaas ki shiddat ko bujhaane ke liye
main nayi tarz ke khush-fikr risaale maango

din ki sadkon pe saja kar nayi subhen akmal
shab ki chaukhat ke liye aahani taale maango

हिज्र की शाम से ज़ख़्मों के दोशाले माँगूँ
मैं सियाही के समुंदर से उजाले माँगूँ

जब नई नस्ल नई तर्ज़ से जीना चाहे
क्यूँ न उस अहद से दस्तूर निराले माँगूँ

अपने एहसास के सहरा में तक़द्दुस चाहूँ
अपने जज़्बात की घाटी में शिवाले माँगूँ

अपनी आँखों के लिए दर्द के आँसू ढूँडूँ
अपने क़दमों के लिए फूल से छाले माँगूँ

हर नए मोड़ पे चाहूँ नए रिश्तों का हुजूम
हर क़दम पर मैं नए चाहने वाले माँगूँ

अपने एहसास की शिद्दत को बुझाने के लिए
मैं नई तर्ज़ के ख़ुश-फ़िक्र रिसाले मांगों

दिन की सड़कों पे सजा कर नई सुब्हें 'अकमल'
शब की चौखट के लिए आहनी ताले मांगों

  - Akmal Imaam

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akmal Imaam

As you were reading Shayari by Akmal Imaam

Similar Writers

our suggestion based on Akmal Imaam

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari