pyaar ishq hamdardi aur dosti saazish
mere saath hoti hai roz ik nayi saazish
aane waale lamhon ke ham mizaaj-daan thehre
kaise kar sakegi phir ham se zindagi saazish
vo khud-e'itmaadi ka aaina raha hoga
warna ek muddat tak muntazir rahi saazish
le chali hain saahil par mujh ko sar-firi maujen
jaise ye bhi toofaan ki ho koi nayi saazish
main ghane andheron ka saaya saath rakhta hoon
mere saath kar jaaye aur raushni saazish
us ki apni chaalon ne us pe vaar kar daala
waqt ke badalte hi rukh badal gai saazish
akmal aaj ka insaan kitna be-tahammul hai
dil mein kuchh khalish ubhri aur daagh di saazish
प्यार इश्क़ हमदर्दी और दोस्ती साज़िश
मेरे साथ होती है रोज़ इक नई साज़िश
आने वाले लम्हों के हम मिज़ाज-दाँ ठहरे
कैसे कर सकेगी फिर हम से ज़िंदगी साज़िश
वो ख़ुद-ए'तिमादी का आइना रहा होगा
वर्ना एक मुद्दत तक मुंतज़िर रही साज़िश
ले चली हैं साहिल पर मुझ को सर-फिरी मौजें
जैसे ये भी तूफ़ाँ की हो कोई नई साज़िश
मैं घने अंधेरों का साया साथ रखता हूँ
मेरे साथ कर जाए और रौशनी साज़िश
उस की अपनी चालों ने उस पे वार कर डाला
वक़्त के बदलते ही रुख़ बदल गई साज़िश
'अकमल' आज का इंसाँ कितना बे-तहम्मुल है
दिल में कुछ ख़लिश उभरी और दाग़ दी साज़िश
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akmal Imaam
our suggestion based on Akmal Imaam
As you were reading Ulfat Shayari Shayari