tu rahe ye rut rahe ye daur-e-paimaana rahe | तू रहे ये रुत रहे ये दौर-ए-पैमाना रहे - Al-Haaj Al-Hafiz

tu rahe ye rut rahe ye daur-e-paimaana rahe
ta-qayamat saaqiya aabaad may-khaana rahe

ik taraf jalta raha parwaana sham-e-bazm par
ik taraf ham sham'rukh par ban ke parwaana rahe

shor bulbul ka chaman mein hai to kya ai ham-nava
ham to deewane udaate khaak-e-veeraana rahe

kya zara si baat ka tu ne batangad kar diya
tujh se mere yaar kis ka kab ko yaaraana rahe

ham se deewane mein shikwe ki kahaan taqat bhala
tohmaten ham par laga kar aap farzaana rahe

meri ulfat mein nahin kuchh farq teri baat se
mere lab par tere ghamze ka hi shukraana rahe

kijie deewaan raushan is tarah se naam ko
hashr tak to kam se kam ulfat ka afsaana rahe

तू रहे ये रुत रहे ये दौर-ए-पैमाना रहे
ता-क़यामत साक़िया आबाद मय-ख़ाना रहे

इक तरफ़ जलता रहा परवाना शम-ए-बज़्म पर
इक तरफ़ हम शम्अ-रुख़ पर बन के परवाना रहे

शोर बुलबुल का चमन में है तो क्या ऐ हम-नवा
हम तो दीवाने उड़ाते ख़ाक-ए-वीराना रहे

क्या ज़रा सी बात का तू ने बतंगड़ कर दिया
तुझ से मेरे यार किस का कब को याराना रहे

हम से दीवाने में शिकवे की कहाँ ताक़त भला
तोहमतें हम पर लगा कर आप फ़रज़ाना रहे

मेरी उल्फ़त में नहीं कुछ फ़र्क़ तेरी बात से
मेरे लब पर तेरे ग़म्ज़े का ही शुक्राना रहे

कीजिए 'दीवान' रौशन इस तरह से नाम को
हश्र तक तो कम से कम उल्फ़त का अफ़्साना रहे

- Al-Haaj Al-Hafiz
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Al-Haaj Al-Hafiz

As you were reading Shayari by Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Writers

our suggestion based on Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari