apna mea'ar juda apna hai kirdaar juda | अपना मेआ'र जुदा अपना है किरदार जुदा

  - Al-Haaj Al-Hafiz

apna mea'ar juda apna hai kirdaar juda
apna saaqi hai juda saaghar-o-may-khwaar juda

bakht apna hai juda apna hai dildaar juda
shokh nazrein hain alag abroo-e-khandaar juda

main zamaane se juda koocha-o-baazaar juda
mera andaaz anokha meri raftaar juda

bazm mein main bhi raqeebon ko jagah deta hoon
jis tarah gul se kabhi ho na sake khaar juda

aisi barsaat ki rut ham ne na dekhi thi kabhi
may juda abr juda saaqi-o-may-khwaar juda

fasl-e-gul qaid-e-qafas aankhon ka bharna un par
chhaai hai kaali ghatta aur hai gulzaar juda

koi bargashta rahe baith rahe apne ghar
apni mehfil hai juda dost-o-gham-khwaar juda

aap ke khulk se deewaan sabhi yakja hain
warna london mein to rahte rahe fankaar juda

ye ghazal vo hai ki deewaan hamein kehna pada
tarz apni hai alag apne hain ashaar juda

अपना मेआ'र जुदा अपना है किरदार जुदा
अपना साक़ी है जुदा साग़र-ओ-मय-ख़्वार जुदा

बख़्त अपना है जुदा अपना है दिलदार जुदा
शोख़ नज़रें हैं अलग अबरू-ए-ख़मदार जुदा

मैं ज़माने से जुदा कूचा-ओ-बाज़ार जुदा
मेरा अंदाज़ अनोखा मिरी रफ़्तार जुदा

बज़्म में मैं भी रक़ीबों को जगह देता हूँ
जिस तरह गुल से कभी हो न सके ख़ार जुदा

ऐसी बरसात की रुत हम ने न देखी थी कभी
मय जुदा अब्र जुदा साक़ी-ओ-मय-ख़्वार जुदा

फ़स्ल-ए-गुल क़ैद-ए-क़फ़स आँखों का भरना उन पर
छाई है काली घटा और है गुलज़ार जुदा

कोई बरगश्ता रहे बैठ रहे अपने घर
अपनी महफ़िल है जुदा दोस्त-ओ-ग़म-ख़्वार जुदा

आप के ख़ुल्क़ से 'दीवान' सभी यकजा हैं
वर्ना लंदन में तो रहते रहे फ़नकार जुदा

ये ग़ज़ल वो है कि 'दीवान' हमें कहना पड़ा
तर्ज़ अपनी है अलग अपने हैं अशआ'र जुदा

  - Al-Haaj Al-Hafiz

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Al-Haaj Al-Hafiz

As you were reading Shayari by Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Writers

our suggestion based on Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari