jis ghadi aql ne kuchh hosh mein laana chaaha | जिस घड़ी अक़्ल ने कुछ होश में लाना चाहा

  - Al-Haaj Al-Hafiz

jis ghadi aql ne kuchh hosh mein laana chaaha
dil ne deewaana mujhe aur banaana chaaha

dil se majboor hue garche bhulaana chaaha
raaz-e-ulfat na chhupa laakh chhupaana chaaha

zahar si cheez bhi dhundhe se nahin hai milti
main ne ghabra ke kabhi zahar jo khana chaaha

ab to jeena hai bahr-haal mujhe heen-e-hayaat
zalim is maut ne kya kya na bahaana chaaha

neechi nazaron ke salaam aaye musalsal us dam
uth ke mehfil se kabhi main ne jo jaana chaaha

bakshi fitrat mein lachak kitni khuda ne dekho
sar-buland aur hua jis ne girana chaaha

dard andoh alam aur jame baithe rahe
shaam-e-furqat mein unhen jitna bhagaana chaaha

us ki mitti hui barbaad gaya jaan se vo
jis ne kooche mein tire aa ke thikaana chaaha

kaun kehta hai ki tadbeer se taqdeer bane
na bani ham ne use laakh banaana chaaha

ek ham hi to nahin ahl-e-hunr the phir kyun
ahl-e-mehfil ne mujhe sadr banaana chaaha

yun bhi fankaaron mein deewaan ki izzat hai magar
shayari ne use kuchh aur badhaana chaaha

जिस घड़ी अक़्ल ने कुछ होश में लाना चाहा
दिल ने दीवाना मुझे और बनाना चाहा

दिल से मजबूर हुए गरचे भुलाना चाहा
राज़-ए-उल्फ़त न छुपा लाख छुपाना चाहा

ज़हर सी चीज़ भी ढूँढे से नहीं है मिलती
मैं ने घबरा के कभी ज़हर जो खना चाहा

अब तो जीना है बहर-हाल मुझे हीन-ए-हयात
ज़ालिम इस मौत ने क्या क्या न बहाना चाहा

नीची नज़रों के सलाम आए मुसलसल उस दम
उठ के महफ़िल से कभी मैं ने जो जाना चाहा

बख़्शी फ़ितरत में लचक कितनी ख़ुदा ने देखो
सर-बुलंद और हुआ जिस ने गिराना चाहा

दर्द अंदोह अलम और जमे बैठे रहे
शाम-ए-फ़ुर्क़त में उन्हें जितना भगाना चाहा

उस की मिट्टी हुई बर्बाद गया जान से वो
जिस ने कूचे में तिरे आ के ठिकाना चाहा

कौन कहता है कि तदबीर से तक़दीर बने
न बनी हम ने उसे लाख बनाना चाहा

एक हम ही तो नहीं अहल-ए-हुनर थे फिर क्यों
अहल-ए-महफ़िल ने मुझे सद्र बनाना चाहा

यूँ भी फ़नकारों में 'दीवान' की इज़्ज़त है मगर
शायरी ने उसे कुछ और बढ़ाना चाहा

  - Al-Haaj Al-Hafiz

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Al-Haaj Al-Hafiz

As you were reading Shayari by Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Writers

our suggestion based on Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari