ghatta ho baad-e-bahaari ho aur jaam nahin
gazab ho saaqi agar may se koi kaam nahin
hamaari baat bhi zaahid se ja ke kah dena
use halaal nahin may hamein haraam nahin
kisi ko fikr ho kyun mere marne jeene ki
ki meri zaat se barham koi nizaam nahin
haqeeqatan yahi duniya sara-e-faani hai
hai kooch sabab ki kisi ko yahan qiyaam nahin
bahut savaab mile toote dil ko gar jode
kuchh is se badh ke zamaane mein koi kaam nahin
chale the deed ko ye kah ke us ko rok diya
ye khaas logon ki baari hai deed-e-aam nahin
bharosa kijie hargiz na us ki baaton ka
jise na apni kisi baat par qiyaam nahin
hamesha gheebatein karta bura-bhala kehta
in haasido ko siva is ke aur kaam nahin
kahi jo hatthe chadha dil-jalon ke charkh-e-kuhan
jala ke khaak na kar den to mera naam nahin
main vo ghayoor hoon deewaan aaj tak jis ne
kisi ameer ko jhuk kar kiya salaam nahin
khuli hakikat-e-'deewaan ahl-e-nakhwat par
raees-zaada hoon main bhi koi ghulaam nahin
घटा हो बाद-ए-बहारी हो और जाम नहीं
ग़ज़ब हो साक़ी अगर मय से कोई काम नहीं
हमारी बात भी ज़ाहिद से जा के कह देना
उसे हलाल नहीं मय हमें हराम नहीं
किसी को फ़िक्र हो क्यों मेरे मरने जीने की
कि मेरी ज़ात से बरहम कोई निज़ाम नहीं
हक़ीक़तन यही दुनिया सरा-ए-फ़ानी है
है कूच सबब कि किसी को यहाँ क़ियाम नहीं
बहुत सवाब मिले टूटे दिल को गर जोड़े
कुछ इस से बढ़ के ज़माने में कोई काम नहीं
चले थे दीद को ये कह के उस को रोक दिया
ये ख़ास लोगों की बारी है दीद-ए-आम नहीं
भरोसा कीजिए हरगिज़ न उस की बातों का
जिसे न अपनी किसी बात पर क़ियाम नहीं
हमेशा ग़ीबतें करता बुरा-भला कहता
इन हासिदों को सिवा इस के और काम नहीं
कहीं जो हत्थे चढ़ा दिल-जलों के चर्ख़-ए-कुहन
जला के ख़ाक न कर दें तो मेरा नाम नहीं
मैं वो ग़यूर हूँ 'दीवान' आज तक जिस ने
किसी अमीर को झुक कर किया सलाम नहीं
खुली हक़ीक़त-ए-'दीवान' अहल-ए-नख़वत पर
रईस-ज़ादा हूँ मैं भी कोई ग़ुलाम नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Al-Haaj Al-Hafiz
our suggestion based on Al-Haaj Al-Hafiz
As you were reading Charagh Shayari Shayari