jin ke achhe hain sanam un ke karam achhe hain
un ke achhe hain karam jin ke sanam achhe hain
tere kooche ke maze kab ko samajhta waiz
us ki taskin ke liye zikr-e-iram achhe hain
justuju kijie kitni hi nahin milte vo
haan unhen milte hain bas jin ke karam achhe hain
kaam aayein bhi kisi ke to na ehsaan rakhen
ahl-e-duniya se to patthar ke sanam achhe hain
dil mein kamtar jinhen hone ka hai ehsaas wahi
sab se kahte hain vo duniya mein ki ham achhe hain
yun to ginti mein hazaaron hain bhari khoobi magar
kaam duniya ke agar aayein to ham achhe hain
khookar-e-rasm-e-sitam main hua deewaan ab to
al-gharz apne liye ahl-e-sitam achhe hain
जिन के अच्छे हैं सनम उन के करम अच्छे हैं
उन के अच्छे हैं करम जिन के सनम अच्छे हैं
तेरे कूचे के मज़े कब को समझता वाइज़
उस की तस्कीं के लिए ज़िक्र-ए-इरम अच्छे हैं
जुस्तुजू कीजिए कितनी ही नहीं मिलते वो
हाँ उन्हें मिलते हैं बस जिन के करम अच्छे हैं
काम आएँ भी किसी के तो न एहसान रखें
अहल-ए-दुनिया से तो पत्थर के सनम अच्छे हैं
दिल में कमतर जिन्हें होने का है एहसास वही
सब से कहते हैं वो दुनिया में कि हम अच्छे हैं
यूँ तो गिनती में हज़ारों हैं भरी ख़ूबी मगर
काम दुनिया के अगर आएँ तो हम अच्छे हैं
ख़ूगर-ए-रस्म-ए-सितम मैं हुआ 'दीवान' अब तो
अल-ग़रज़ अपने लिए अहल-ए-सितम अच्छे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Al-Haaj Al-Hafiz
our suggestion based on Al-Haaj Al-Hafiz
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari