chaah ke uljhe hue rishte ko suljhaane chale | चाह के उलझे हुए रिश्ते को सुलझाने चले

  - Al-Haaj Al-Hafiz

chaah ke uljhe hue rishte ko suljhaane chale
uljhane had se badhin to dil ko bahkaane chale

pee gaya tishna-dahaani mein khuda jaane main kya
kyun raseeli aankh se vo aag bhadkaane chale

aaina jauhar se khaali ho to aaina nahin
is dhale chehre pe kya tum husn chamkaane chale

sarguzisht apne fasaane ki kahoon kya ai nadeem
munsifi phir uth gai jab khud vo samjhaane chale

mo'jiza is maajra-e-dil ka ab to maan lo
sab hue mushtaaq jab ham kah ke afsaane chale

gham ho ya raahat kisi se dil bahalta hi nahin
jab na kuchh bhi ban padi to khud ko fuslaane chale

raah mein kaante bichhaaye the jinhon ne aaj kyun
baagh mein dekha to hans kar phool barsaane chale

raaz-e-dil kuchh pa gaye deewaan saahib warna to
kis khushi mein vo hamaare ranj-o-gham khaane chale

चाह के उलझे हुए रिश्ते को सुलझाने चले
उलझनें हद से बढ़ीं तो दिल को बहकाने चले

पी गया तिश्ना-दहानी में ख़ुदा जाने मैं क्या
क्यों रसीली आँख से वो आग भड़काने चले

आइना जौहर से ख़ाली हो तो आईना नहीं
इस ढले चेहरे पे क्या तुम हुस्न चमकाने चले

सरगुज़िश्त अपने फ़साने की कहूँ क्या ऐ नदीम
मुंसिफ़ी फिर उठ गई जब ख़ुद वो समझाने चले

मो'जिज़ा इस माजरा-ए-दिल का अब तो मान लो
सब हुए मुश्ताक़ जब हम कह के अफ़्साने चले

ग़म हो या राहत किसी से दिल बहलता ही नहीं
जब न कुछ भी बन पड़ी तो ख़ुद को फुसलाने चले

राह में काँटे बिछाए थे जिन्हों ने आज क्यों
बाग़ में देखा तो हँस कर फूल बरसाने चले

राज़-ए-दिल कुछ पा गए 'दीवान' साहिब वर्ना तो
किस ख़ुशी में वो हमारे रंज-ओ-ग़म खाने चले

  - Al-Haaj Al-Hafiz

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Al-Haaj Al-Hafiz

As you were reading Shayari by Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Writers

our suggestion based on Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari