ye kaise log hain jo raah mein naachaar baithe hain
bade naadaan musaafir hain ki himmat haar baithe hain
agar pahluu se vo utthe to dil apna na kyun baithe
garz marne ko har soorat se ham taiyyaar baithe hain
zamaane ne na di furqat jo ham khidmat baja laate
kisi ne kab hamein dekha ki ham be-kaar baithe hain
kise furqat khabar le dard-mandon ki shab-e-gham mein
hazaaron baar utthe hain hazaaron baar baithe hain
kabhi utthe to garm-e-justuju-e-dost mein utthe
kabhi baithe to mahv-e-aarzoo-e-yaar baithe hain
junoon-e-ishq mein sehra-navardi chaak-damaani
yahi sab kar ke goya thak gaye be-kaar baithe hain
na raahon se shanaasaai na rahbar se taaruf hai
hazaaron justujuen kar ke himmat haar baithe hain
ajab ye rang-e-mahfil hai kahein to kya kahein hamdam
bahr-soorat ham us ki bazm mein bezaar baithe hain
kabhi deewaan se dekha nahin khaali ho may-khaana
jahaan bhi dekhiye ja kar wahin sarkaar baithe hain
ये कैसे लोग हैं जो राह में नाचार बैठे हैं
बड़े नादाँ मुसाफ़िर हैं कि हिम्मत हार बैठे हैं
अगर पहलू से वो उट्ठे तो दिल अपना न क्यों बैठे
ग़रज़ मरने को हर सूरत से हम तय्यार बैठे हैं
ज़माने ने न दी फ़ुर्सत जो हम ख़िदमत बजा लाते
किसी ने कब हमें देखा कि हम बे-कार बैठे हैं
किसे फ़ुर्सत ख़बर ले दर्द-मंदों की शब-ए-ग़म में
हज़ारों बार उट्ठे हैं हज़ारों बार बैठे हैं
कभी उट्ठे तो गर्म-ए-जुस्तुजू-ए-दोस्त में उट्ठे
कभी बैठे तो महव-ए-आरज़ू-ए-यार बैठे हैं
जुनून-ए-इश्क़ में सहरा-नवर्दी चाक-दामानी
यही सब कर के गोया थक गए बे-कार बैठे हैं
न राहों से शनासाई न रहबर से तआ'रुफ़ है
हज़ारों जुस्तुजुएँ कर के हिम्मत हार बैठे हैं
अजब ये रंग-ए-महफ़िल है कहें तो क्या कहें हमदम
बहर-सूरत हम उस की बज़्म में बेज़ार बैठे हैं
कभी 'दीवान' से देखा नहीं ख़ाली हो मय-ख़ाना
जहाँ भी देखिए जा कर वहीं सरकार बैठे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Al-Haaj Al-Hafiz
our suggestion based on Al-Haaj Al-Hafiz
As you were reading Musafir Shayari Shayari