kabhi to aate vo bala-e-baam kah dena | कभी तो आते वो बाला-ए-बाम कह देना - Al-Haaj Al-Hafiz

kabhi to aate vo bala-e-baam kah dena
kabhi to ham se bhi karte kalaam kah dena

zamaana-saazo se allah bas bachaaye mujhe
gazab hua mera itna kalaam kah dena

ye koi baat hai hans hans ke tanj se zalim
jo munh mein aaye mujhe be-lagaam kah dena

maza to jab hai ki chupke se bhi na pee waiz
hamein bhi aata hai jhat se haraam kah dena

lagaaye aas hoon kab se main nama-bar ke liye
mile jo raah mein mera salaam kah dena

saba karam ho ye deewaan par khuda ke liye
na kuchh sahi to faqat ik salaam kah dena

कभी तो आते वो बाला-ए-बाम कह देना
कभी तो हम से भी करते कलाम कह देना

ज़माना-साज़ों से अल्लाह बस बचाए मुझे
ग़ज़ब हुआ मिरा इतना कलाम कह देना

ये कोई बात है हँस हँस के तंज़ से ज़ालिम
जो मुँह में आए मुझे बे-लगाम कह देना

मज़ा तो जब है कि चुपके से भी न पी वाइज़
हमें भी आता है झट से हराम कह देना

लगाए आस हूँ कब से मैं नामा-बर के लिए
मिले जो राह में मेरा सलाम कह देना

सबा करम हो ये 'दीवान' पर ख़ुदा के लिए
न कुछ सही तो फ़क़त इक सलाम कह देना

- Al-Haaj Al-Hafiz
0 Likes

Satire Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Al-Haaj Al-Hafiz

As you were reading Shayari by Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Writers

our suggestion based on Al-Haaj Al-Hafiz

Similar Moods

As you were reading Satire Shayari Shayari