naaz-e-but-e-mahvash par qurbaan dil-o-jaan hai | नाज़-ए-बुत-ए-महवश पर क़ुर्बान दिल-ओ-जाँ है

  - Ali Manzoor Hyderabadi

naaz-e-but-e-mahvash par qurbaan dil-o-jaan hai
ye shaan-e-khuda shaahid-e-gharat-gar-e-imaan hai

jo baat bhi hai pyaari jo chaal bhi hai achhi
aan us ki nahin makhfi shaan us ki numayaan hai

hamraah chaloon us ke kuchh baat karoon us se
muddat se ye hasrat hai muddat se ye armaan hai

vo mujh ko dikhaate hain har aan naya jalwa
mere liye har jalwa sarmaaya-e-ehsaan hai

girdaab-e-haavadis mein khush hoon ki meri kashti
na-deeda-e-saahil hai parvarda-e-toofan hai

hansta hua aaya hai hans hans ke rulaayega
vo ahd-shikan phir ab aamaada-e-paimaan hai

manzoor use dil dena dil de ke khalish lena
ye bhi koi hasrat hai ye bhi koi armaan hai

नाज़-ए-बुत-ए-महवश पर क़ुर्बान दिल-ओ-जाँ है
ये शान-ए-ख़ुदा शाहिद-ए-ग़ारत-गर-ए-ईमाँ है

जो बात भी है प्यारी जो चाल भी है अच्छी
आन उस की नहीं मख़्फ़ी शान उस की नुमायाँ है

हमराह चलूँ उस के कुछ बात करूँ उस से
मुद्दत से ये हसरत है मुद्दत से ये अरमाँ है

वो मुझ को दिखाते हैं हर आन नया जल्वा
मेरे लिए हर जल्वा सरमाया-ए-एहसाँ है

गिर्दाब-ए-हवादिस में ख़ुश हूँ कि मिरी कश्ती
ना-दीदा-ए-साहिल है परवर्दा-ए-तूफ़ाँ है

हँसता हुआ आया है हँस हँस के रुलाएगा
वो अहद-शिकन फिर अब आमादा-ए-पैमांँ है

'मंज़ूर' उसे दिल देना दिल दे के ख़लिश लेना
ये भी कोई हसरत है ये भी कोई अरमाँ है

  - Ali Manzoor Hyderabadi

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Manzoor Hyderabadi

As you were reading Shayari by Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari