farq jab lazzat-e-ehsaas mein paaya na gaya | फ़र्क़ जब लज़्ज़त-ए-एहसास में पाया न गया

  - Ali Manzoor Hyderabadi

farq jab lazzat-e-ehsaas mein paaya na gaya
dard dekha na gaya tum ko dikhaaya na gaya

chutkiyaan kaun ye rah rah ke liye jaata hai
mere dil mein to meri jaan koi aaya na gaya

lutf yun ranjish-e-be-jaa ke liye paharon tak
be-sabab roothne waale ko manaaya na gaya

khwaab-e-pur-kaif ka manzar bhi nashaat-aavar tha
dost ko is liye kuchh der jagaaya na gaya

man' karti jo rahi khanda-jabeeni us ki
dard-e-dil apna kabhi us ko sunaaya na gaya

khud hansa vo ye jawaani ki karam-bakhshi hai
khusraw-e-husn ko mujh se to hansaaya na gaya

de to di zabt-e-mohabbat ki qasam zalim ne
faaeda zabt-e-mohabbat ka bataaya na gaya

kab dikhaata hai vo barbaadi-e-hasrat ka samaan
khaak mein jab meri hasrat ko milaaya na gaya

raushni jis ki dikhaati thi mujhe bhool hi bhool
us qamar-vash ka vo andaaz bhulaaya na gaya

toor ki poori tarah yaad dilaai na gai
hosh cheene to gaye hosh mein laaya na gaya

un ki mashkook nazar mein vo maza tha manzoor
ki yaqeen apni mohabbat ka dilaayaa na gaya

फ़र्क़ जब लज़्ज़त-ए-एहसास में पाया न गया
दर्द देखा न गया तुम को दिखाया न गया

चुटकियाँ कौन ये रह रह के लिए जाता है
मेरे दिल में तो मिरी जाँ कोई आया न गया

लुत्फ़ यूँ रंजिश-ए-बे-जा के लिए पहरों तक
बे-सबब रूठने वाले को मनाया न गया

ख़्वाब-ए-पुर-कैफ़ का मंज़र भी नशात-आवर था
दोस्त को इस लिए कुछ देर जगाया न गया

मनअ' करती जो रही ख़ंदा-जबीनी उस की
दर्द-ए-दिल अपना कभी उस को सुनाया न गया

ख़ुद हँसा वो ये जवानी की करम-बख़्शी है
ख़ुसरव-ए-हुस्न को मुझ से तो हँसाया न गया

दे तो दी ज़ब्त-ए-मोहब्बत की क़सम ज़ालिम ने
फ़ाएदा ज़ब्त-ए-मोहब्बत का बताया न गया

कब दिखाता है वो बर्बादी-ए-हसरत का समाँ
ख़ाक में जब मिरी हसरत को मिलाया न गया

रौशनी जिस की दिखाती थी मुझे भूल ही भूल
उस क़मर-वश का वो अंदाज़ भुलाया न गया

तूर की पूरी तरह याद दिलाई न गई
होश छीने तो गए होश में लाया न गया

उन की मश्कूक नज़र में वो मज़ा था मंज़ूर
कि यक़ीं अपनी मोहब्बत का दिलाया न गया

  - Ali Manzoor Hyderabadi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Manzoor Hyderabadi

As you were reading Shayari by Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari