gham ka gumaan yaqeen-e-tarab se badal gaya | ग़म का गुमाँ यक़ीन-ए-तरब से बदल गया

  - Ali Manzoor Hyderabadi

gham ka gumaan yaqeen-e-tarab se badal gaya
ehsaas-e-ishq husn ke saanche mein dhal gaya

saath un ke le raha hoon main gul-gasht ke maze
ye khwaab hi sahi mera jee to bahl gaya

majboor-e-ishq chashm-e-fusoon-saaz se hoon main
jaadu mujhi pe dost ka chalna tha chal gaya

main intizaar-e-eid mein tha eed aa gai
armaan-e-deed daaman-e-ishrat mein pal gaya

hai barq-e-jalwa yaad magar ye nahin hai yaad
khirman mere ghuroor ka kis waqt jal gaya

paimaan-e-ishq-o-husn ki tajdeed ke siva
jo bhi khayal zehan mein aaya nikal gaya

badhte chale hain aaye din asbaab-e-iztiraab
yaad-shab-khair aaj ka wa'da bhi tal gaya

manzoor kis zabaan se buton ko bura kahein
eemaan hamaara kufr ke daaman mein pal gaya

ग़म का गुमाँ यक़ीन-ए-तरब से बदल गया
एहसास-ए-इश्क़ हुस्न के साँचे में ढल गया

साथ उन के ले रहा हूँ मैं गुल-गश्त के मज़े
ये ख़्वाब ही सही मिरा जी तो बहल गया

मजबूर-ए-इश्क़ चश्म-ए-फ़ुसूँ-साज़ से हूँ मैं
जादू मुझी पे दोस्त का चलना था चल गया

मैं इंतिज़ार-ए-ईद में था ईद आ गई
अरमान-ए-दीद दामन-ए-इशरत में पल गया

है बर्क़-ए-जल्वा याद मगर ये नहीं है याद
ख़िरमन मिरे ग़ुरूर का किस वक़्त जल गया

पैमान-ए-इश्क़-ओ-हुस्न की तज्दीद के सिवा
जो भी ख़याल ज़ेहन में आया निकल गया

बढ़ते चले हैं आए दिन अस्बाब-ए-इज़्तिराब
यादश-ब-ख़ैर आज का वा'दा भी टल गया

'मंज़ूर' किस ज़बाँ से बुतों को बुरा कहें
ईमाँ हमारा कुफ़्र के दामन में पल गया

  - Ali Manzoor Hyderabadi

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Manzoor Hyderabadi

As you were reading Shayari by Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari