laayegi rang aap ki ye dil-lagi kuchh aur | लाएगी रंग आप की ये दिल-लगी कुछ और

  - Ali Manzoor Hyderabadi

laayegi rang aap ki ye dil-lagi kuchh aur
badh kar rahegi ab meri aashuftagi kuchh aur

mujh par khulenge aur abhi raaz-haa-e-ishq
dil ko milegi lazzat-e-bechaargi kuchh aur

meri hayaat ishq hai tamheed-e-imbisaat
jalwe dikhaayegi mujhe khud-raftagi kuchh aur

un ki taraf hai chashm-e-sukhan go dam-e-akheer
us ke siva nahin asr-e-zindagi kuchh aur

haan ai khayal-e-dost dikha dost ko dikha
baaki kuchh aur hai havas-e-bandagi kuchh aur

rehta na itna door main us jalvaa-gaah se
ai kaash ubhaarta gham-e-uftaadagi kuchh aur

wa'de yoonhi jo karte rahenge vo nau-b-nau
haasil karunga main tarab-e-zindagi kuchh aur

manzoor ik nigaah-e-tarab-soz ke siva
dekha na ham ne haasil-e-sharmindagi kuchh aur

लाएगी रंग आप की ये दिल-लगी कुछ और
बढ़ कर रहेगी अब मिरी आशुफ़्तगी कुछ और

मुझ पर खुलेंगे और अभी राज़-हा-ए-इश्क़
दिल को मिलेगी लज़्ज़त-ए-बेचारगी कुछ और

मेरी हयात इश्क़ है तम्हीद-ए-इम्बिसात
जल्वे दिखाएगी मुझे ख़ुद-रफ़्तगी कुछ और

उन की तरफ़ है चश्म-ए-सुख़न गो दम-ए-अख़ीर
उस के सिवा नहीं असर-ए-ज़िंदगी कुछ और

हाँ ऐ ख़याल-ए-दोस्त दिखा दोस्त को दिखा
बाक़ी कुछ और है हवस-ए-बंदगी कुछ और

रहता न इतना दूर मैं उस जल्वा-गाह से
ऐ काश उभारता ग़म-ए-उफ़्तादगी कुछ और

वा'दे यूँही जो करते रहेंगे वो नौ-ब-नौ
हासिल करूँगा मैं तरब-ए-ज़िंदगी कुछ और

'मंज़ूर' इक निगाह-ए-तरब-सोज़ के सिवा
देखा न हम ने हासिल-ए-शर्मिंदगी कुछ और

  - Ali Manzoor Hyderabadi

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Manzoor Hyderabadi

As you were reading Shayari by Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari