barham-kun-e-dil yun kabhi barham na hua tha | बरहम-कुन-ए-दिल यूँ कभी बरहम न हुआ था

  - Ali Manzoor Hyderabadi

barham-kun-e-dil yun kabhi barham na hua tha
hairat-asar aisa mera aalam na hua tha

un shokh nigaahon ne tadap aur badha di
allah abhi dard-e-jigar kam na hua tha

ab bhi mujhe khuddaari-e-jaanaan mein nahin shak
pehle bhi mera dil mutwahham na hua tha

ai peer-e-mugaan us ki baqa mein mujhe shak hai
waqif asr-e-jaam se kya jam na hua tha

vo shokh mujhe dekh ke yun sharm se jhuk jaaye
jis ka sar-e-magroor kabhi kham na hua tha

is kam-nigaahi ne to mujhe maar hi daala
aisa asar ai pursish-e-paiham na hua tha

mashhoor vo manzoor hai jis ke liye kal tak
sarmaa-e-shohrat hi faraham na hua tha

बरहम-कुन-ए-दिल यूँ कभी बरहम न हुआ था
हैरत-असर ऐसा मिरा आलम न हुआ था

उन शोख़ निगाहों ने तड़प और बढ़ा दी
अल्लाह अभी दर्द-ए-जिगर कम न हुआ था

अब भी मुझे ख़ुद्दारी-ए-जानाँ में नहीं शक
पहले भी मिरा दिल मुतवह्हम न हुआ था

ऐ पीर-ए-मुग़ाँ उस की बक़ा में मुझे शक है
वाक़िफ़ असर-ए-जाम से क्या जम न हुआ था

वो शोख़ मुझे देख के यूँ शर्म से झुक जाए
जिस का सर-ए-मग़रूर कभी ख़म न हुआ था

इस कम-निगही ने तो मुझे मार ही डाला
ऐसा असर ऐ पुर्सिश-ए-पैहम न हुआ था

मशहूर वो 'मंज़ूर' है जिस के लिए कल तक
सरमा-ए-शोहरत ही फ़राहम न हुआ था

  - Ali Manzoor Hyderabadi

Bechaini Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Manzoor Hyderabadi

As you were reading Shayari by Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Bechaini Shayari Shayari