jab apne dil pe apna kuchh ikhtiyaar dekha | जब अपने दिल पे अपना कुछ इख़्तियार देखा

  - Ali Manzoor Hyderabadi

jab apne dil pe apna kuchh ikhtiyaar dekha
begaana-khoo haseen ko begaana-waar dekha

paiham tajalliyon ki mujh mein sakat kahaan thi
nazrein chura chura kar soo-e-nigaar dekha

aaj apni be-khudi ko irfaan ki raushni mein
us maah-e-seem-tan ka aaina-daar dekha

teri inaayaton se anjaam-been nazar mein
aaghaaz-e-ishq hi mein anjaam-e-kaar dekha

ye bholi bholi soorat ai chaand phir bhi tu ne
meri taraf se apne dil mein ghubaar dekha

husn-e-shabaab-parvar kis darje sehr-zaa hai
dekha tira zamaana ai gul-e-ezaar dekha

us shokh ki gali mein manzoor-e-tafta-jaan ko
phir be-qaraar paaya phir ashk-baar dekha

जब अपने दिल पे अपना कुछ इख़्तियार देखा
बेगाना-ख़ू हसीं को बेगाना-वार देखा

पैहम तजल्लियों की मुझ में सकत कहाँ थी
नज़रें चुरा चुरा कर सूए-निगार देखा

आज अपनी बे-ख़ुदी को इरफ़ाँ की रौशनी में
उस माह-ए-सीम-तन का आईना-दार देखा

तेरी इनायतों से अंजाम-बीं नज़र में
आग़ाज़-ए-इश्क़ ही में अंजाम-ए-कार देखा

ये भोली भोली सूरत ऐ चाँद फिर भी तू ने
मेरी तरफ़ से अपने दिल में ग़ुबार देखा

हुस्न-ए-शबाब-पर्वर किस दर्जे सेहर-ज़ा है
देखा तिरा ज़माना ऐ गुल-ए-एज़ार देखा

उस शोख़ की गली में मंज़ूर-ए-तफ़्ता-जाँ को
फिर बे-क़रार पाया फिर अश्क-बार देखा

  - Ali Manzoor Hyderabadi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Manzoor Hyderabadi

As you were reading Shayari by Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari