ishq-e-saadik jo aseer-e-tamaa-e-khaam na tha | इश्क़-ए-सादिक़ जो असीर-ए-तमा-ए-ख़ाम न था

  - Ali Manzoor Hyderabadi

ishq-e-saadik jo aseer-e-tamaa-e-khaam na tha
saii-e-naakaam ke gham se mujhe kuchh kaam na tha

toor ke lutf-e-khusoosi ki qasam pehle bhi
mere dil par asr-e-jalwa-gah-e-aam na tha

dost ke husn-e-tavajjoh se nahin shaadaab tak
nigaah-e-gham-zadaa mein kya koi paighaam na tha

hasrat-e-khoon-shuda har aan nayi shaan mein thi
rang jo subh ko dekha vo sar-e-shaam na tha

dil-lagi ham se kiye jaate hain kyun aish pasand
kya yahan sokhta kaamon ka koi kaam na tha

jaanta tha jise apni usi mehfil mein gaya
ja ke ghairoon ki tarah muntazir-e-jaam na tha

may-gusaari ke liye mil gaye ham-zauq bahut
gham-gusaari ke liye koi bhi ham-kaam na tha

is zamaane mein bhi ilhaam hai manzoor ka she'r
main kisi daur mein hasrat-kash-e-ilhaam na tha

इश्क़-ए-सादिक़ जो असीर-ए-तमा-ए-ख़ाम न था
सई-ए-नाकाम के ग़म से मुझे कुछ काम न था

तूर के लुत्फ़-ए-ख़ुसूसी की क़सम पहले भी
मेरे दिल पर असर-ए-जल्वा-गह-ए-आम न था

दोस्त के हुस्न-ए-तवज्जोह से नहीं शादाब तक
निगह-ए-ग़म-ज़दा में क्या कोई पैग़ाम न था

हसरत-ए-ख़ूँ-शुदा हर आन नई शान में थी
रंग जो सुब्ह को देखा वो सर-ए-शाम न था

दिल-लगी हम से किए जाते हैं क्यूँ ऐश पसंद
क्या यहाँ सोख़्ता कामों का कोई काम न था

जानता था जिसे अपनी उसी महफ़िल में गया
जा के ग़ैरों की तरह मुंतज़िर-ए-जाम न था

मय-गुसारी के लिए मिल गए हम-ज़ौक़ बहुत
ग़म-गुसारी के लिए कोई भी हम-काम न था

इस ज़माने में भी इल्हाम है 'मंज़ूर' का शे'र
मैं किसी दौर में हसरत-कश-ए-इल्हाम न था

  - Ali Manzoor Hyderabadi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Manzoor Hyderabadi

As you were reading Shayari by Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Manzoor Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari