gum unhin main hoon un ka dhyaan kab nahin aata
yaad unhen bhulaane ka koi dhab nahin aata
zabt-e-girya ki talkin khatm kar bas ai hamdam
baat baat par rona be-sabab nahin aata
kis pe jaan deta hoon raaz hi mein rahne de
naam us dil-aara ka ta-b-lab nahin aata
kya kahoon use pehle dekhta tha kis dhab se
jo haseen nazar mujh ko aah ab nahin aata
jitne baada-khwaar aaye taalib-e-nashaat aaye
saaqiya koi mujh sa haq talab nahin aata
itne ghamgusaaron se shaad kya ho vo gamgeen
gham bhi jis ke hisse mein sab ka sab nahin aata
teri kam-nigaahi ka talab kheench laata hai
saamne tire main khud be-sabab nahin aata
raskh-e-ghair ai manzoor aise waqt aata hai
dost ke tasavvur mein dost jab nahin aata
गुम उन्हीं मैं हूँ उन का ध्यान कब नहीं आता
याद उन्हें भुलाने का कोई ढब नहीं आता
ज़ब्त-ए-गिर्या की तलक़ीं ख़त्म कर बस ऐ हमदम
बात बात पर रोना बे-सबब नहीं आता
किस पे जान देता हूँ राज़ ही में रहने दे
नाम उस दिल-आरा का ता-ब-लब नहीं आता
क्या कहूँ उसे पहले देखता था किस ढब से
जो हसीं नज़र मुझ को आह अब नहीं आता
जितने बादा-ख़्वार आए तालिब-ए-नशात आए
साक़िया कोई मुझ सा हक़ तलब नहीं आता
इतने ग़मगुसारों से शाद क्या हो वो ग़मगीं
ग़म भी जिस के हिस्से में सब का सब नहीं आता
तेरी कम-निगाही का तलब खींच लाता है
सामने तिरे मैं ख़ुद बे-सबब नहीं आता
रश्क-ए-ग़ैर ऐ 'मंज़ूर' ऐसे वक़्त आता है
दोस्त के तसव्वुर में दोस्त जब नहीं आता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Manzoor Hyderabadi
our suggestion based on Ali Manzoor Hyderabadi
As you were reading Yaad Shayari Shayari