ai kashmakash-e-ulfat jee sakht pareshaan hai
marne ki bhi hasrat hai jeene ka ka bhi armaan hai
saahil se nahin lagti gharqaab nahin hoti
kashti hai thapedon mein ye bhi koi toofaan hai
main kya meri ulfat kya tu aur mujhe pooche
bas ai sitam-aara bas hasrat hai na armaan hai
ye mauj-e-tabassum kya zalim ise dho degi
jo rang-e-pashemaani chehra se numayaan hai
maghroor-e-mohabbat hoon khud meri nigaahon mein
ye be-sar-o-saamaani raaz-e-sar-o-samaan hai
is husn-e-mujassam ki sharmeeli adaaon ka
ehsaas-e-mohabbat bhi sharminda-e-ehsaan hai
manzoor use ruksat kis dil se karunga main
dhadka hai yahi har dam jab se ki vo mehmaan hai
ऐ कश्मकश-ए-उल्फ़त जी सख़्त परेशाँ है
मरने की भी हसरत है जीने का का भी अरमाँ है
साहिल से नहीं लगती ग़र्क़ाब नहीं होती
कश्ती है थपेड़ों में ये भी कोई तूफ़ाँ है
मैं क्या मिरी उल्फ़त क्या तू और मुझे पूछे
बस ऐ सितम-आरा बस हसरत है न अरमाँ है
ये मौज-ए-तबस्सुम क्या ज़ालिम इसे धो देगी
जो रंग-ए-पशेमानी चेहरा से नुमायाँ है
मग़रूर-ए-मोहब्बत हूँ ख़ुद मेरी निगाहों में
ये बे-सर-ओ-सामानी राज़-ए-सर-ओ-सामाँ है
इस हुस्न-ए-मुजस्सम की शर्मीली अदाओं का
एहसास-ए-मोहब्बत भी शर्मिंदा-ए-एहसाँ है
'मंज़ूर' उसे रुख़्सत किस दिल से करूँगा मैं
धड़का है यही हर दम जब से कि वो मेहमाँ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Manzoor Hyderabadi
our suggestion based on Ali Manzoor Hyderabadi
As you were reading Mehman Shayari Shayari