na maah-roo na kisi mahtaab se hui thi | न माह-रू न किसी माहताब से हुई थी

  - Ali Muzammil

na maah-roo na kisi mahtaab se hui thi
hamein to pehli mohabbat kitaab se hui thi

fareb-e-kul hai zameen aur namoona-e-azdaad
ki ibtida hi gunaah-o-sawaab se hui thi

bas ek shab ki kahaani nahin ki bhool saken
har ek shab hi mumaasil i'taab se hui thi

wujood-e-chashm tha thehre samundron ki misaal
numood-e-haalat-e-dil ik habaab se hui thi

jaza-e-ishq-e-haqeeqi rahi talab apni
khata-e-ishq-e-majaazi janab se hui thi

usi se teera-shabee mein hai manzaron ka vujood
vo raushni jo mashiyyat ke baab se hui thi

wahi to jehad-e-musalsal ki ibtida thi ali
jab aashnaai qadam ki rikaab se hui thi

न माह-रू न किसी माहताब से हुई थी
हमें तो पहली मोहब्बत किताब से हुई थी

फ़रेब-ए-कुल है ज़मीं और नमूना-ए-अज़्दाद
कि इब्तिदा ही गुनाह-ओ-सवाब से हुई थी

बस एक शब की कहानी नहीं कि भूल सकें
हर एक शब ही मुमासिल इ'ताब से हुई थी

वजूद-ए-चश्म था ठहरे समुंदरों की मिसाल
नुमूद-ए-हालत-ए-दिल इक हबाब से हुई थी

जज़ा-ए-इश्क़-ए-हक़ीक़ी रही तलब अपनी
ख़ता-ए-इश्क़-ए-मजाज़ी जनाब से हुई थी

उसी से तीरा-शबी में है मंज़रों का वजूद
वो रौशनी जो मशिय्यत के बाब से हुई थी

वही तो जेहद-ए-मुसलसल की इब्तिदा थी 'अली'
जब आश्नाई क़दम की रिकाब से हुई थी

  - Ali Muzammil

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Muzammil

As you were reading Shayari by Ali Muzammil

Similar Writers

our suggestion based on Ali Muzammil

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari