hasb-e-maqsud ho gaya hoon main | हस्ब-ए-मक़्सूद हो गया हूँ मैं

  - Ali Muzammil

hasb-e-maqsud ho gaya hoon main
raakh ka dood ho gaya hoon main

ek kamre talak baseerat hai
kitna mahdood ho gaya hoon main

naam pehle baraae-naam to tha
ab to mafaqood ho gaya hoon main

yun khinche muflisi mein sab rishte
jaise mardood ho gaya hoon main

manfaat baantaa raha kal tak
aaj be-sood ho gaya hoon main

shehar radd-o-qubool mein aa kar
bood-o-naabood ho gaya hoon main

umr ki na-rasa masafat mein
gard-aalood ho gaya hoon main

huzn ki yaas ki wadi'at par
ain mas'ood ho gaya hoon main

baab-e-shehr-e-sukhan hua tha ali
nutq-e-masdoood ho gaya hoon main

हस्ब-ए-मक़्सूद हो गया हूँ मैं
राख का दूद हो गया हूँ मैं

एक कमरे तलक बसीरत है
कितना महदूद हो गया हूँ मैं

नाम पहले बराए-नाम तो था
अब तो मफ़क़ूद हो गया हूँ मैं

यूँ खिंचे मुफ़्लिसी में सब रिश्ते
जैसे मरदूद हो गया हूँ मैं

मंफ़अत बाँटता रहा कल तक
आज बे-सूद हो गया हूँ मैं

शहर रद्द-ओ-क़ुबूल में आ कर
बूद-ओ-नाबूद हो गया हूँ मैं

उम्र की ना-रसा मसाफ़त में
गर्द-आलूद हो गया हूँ मैं

हुज़्न की यास की वदीअ'त पर
ऐन मसऊद हो गया हूँ मैं

बाब-ए-शहर-ए-सुख़न हुआ था 'अली'
नुत्क़-ए-मसदूद हो गया हूँ मैं

  - Ali Muzammil

Berozgari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Muzammil

As you were reading Shayari by Ali Muzammil

Similar Writers

our suggestion based on Ali Muzammil

Similar Moods

As you were reading Berozgari Shayari Shayari