shehr-e-dil kunj-e-bayaaban nahin tha pehle
main kabhi itna pareshaan nahin tha pehle
baayein pahluu mein jo ik sang pada hai saakit
ye dhadakta bhi tha be-jaan nahin tha pehle
shehryaaron se maraasim the bahut hi gehre
teera-bakhton se bhi anjaan nahin tha pehle
lafz roothe hue rahte the qalam se akshar
jin se tajdeed ka imkaan nahin tha pehle
jab safar kaat liya hai to mila hai sab kuchh
saath mere koi samaan nahin tha pehle
ab bhi be-naam basar hote hain auqaat mere
dil mein tauqeer ka armaan nahin tha pehle
aaj chadar ke barabar hai mere qad ki bisaat
main kisi shehar ka sultaan nahin tha pehle
khaaye baitha hai zamaane se ta'alluq ka fareb
tu ali itna to naadaan nahin tha pehle
शहर-ए-दिल कुंज-ए-बयाबान नहीं था पहले
मैं कभी इतना परेशान नहीं था पहले
बाएँ पहलू में जो इक संग पड़ा है साकित
ये धड़कता भी था बे-जान नहीं था पहले
शहरयारों से मरासिम थे बहुत ही गहरे
तीरा-बख़्तों से भी अंजान नहीं था पहले
लफ़्ज़ रूठे हुए रहते थे क़लम से अक्सर
जिन से तज्दीद का इम्कान नहीं था पहले
जब सफ़र काट लिया है तो मिला है सब कुछ
साथ मेरे कोई सामान नहीं था पहले
अब भी बे-नाम बसर होते हैं औक़ात मिरे
दिल में तौक़ीर का अरमान नहीं था पहले
आज चादर के बराबर है मिरे क़द की बिसात
मैं किसी शहर का सुल्तान नहीं था पहले
खाए बैठा है ज़माने से तअ'ल्लुक़ का फ़रेब
तू 'अली' इतना तो नादान नहीं था पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Muzammil
our suggestion based on Ali Muzammil
As you were reading Udasi Shayari Shayari