ye kya ki khalk ko poora dikhaai deta hoon | ये क्या कि ख़ल्क़ को पूरा दिखाई देता हूँ

  - Ali Muzammil

ye kya ki khalk ko poora dikhaai deta hoon
magar main khud ko adhoora sujhaai deta hoon

ajal ko ja ke garebaan se pakad laaye
main zindagi ko wahan tak rasai deta hoon

main apne jism ke sab munaqsim hawaalon ko
b-naam-e-rizq sukhun ki kamaai deta hoon

vo zindagi mein mujhe phir kabhi nahin milta
main apne khwaabon se jis ko rihaai deta hoon

mujhe sila na sataish na adl hai matlab
main apne saamne apni safaai deta hoon

ye shor mera takhaatub nahin sunega ali
main khaamoshi ko mukammal sunaai deta hoon

ये क्या कि ख़ल्क़ को पूरा दिखाई देता हूँ
मगर मैं ख़ुद को अधूरा सुझाई देता हूँ

अजल को जा के गरेबान से पकड़ लाए
मैं ज़िंदगी को वहाँ तक रसाई देता हूँ

मैं अपने जिस्म के सब मुनक़सिम हवालों को
ब-नाम-ए-रिज़्क़ सुख़न की कमाई देता हूँ

वो ज़िंदगी में मुझे फिर कभी नहीं मिलता
मैं अपने ख़्वाबों से जिस को रिहाई देता हूँ

मुझे सिला न सताइश न अद्ल है मतलूब
मैं अपने सामने अपनी सफ़ाई देता हूँ

ये शोर मेरा तख़ातुब नहीं सुनेगा 'अली'
मैं ख़ामुशी को मुकम्मल सुनाई देता हूँ

  - Ali Muzammil

Mazdoor Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Muzammil

As you were reading Shayari by Ali Muzammil

Similar Writers

our suggestion based on Ali Muzammil

Similar Moods

As you were reading Mazdoor Shayari Shayari