gham tera mujhe jaan se guzarne nahin deta
marna bhi agar chaahoon to marne nahin deta
ik boond bhi paayaab nazar aati hai ab to
ye dar mujhe dariya mein utarne nahin deta
haalaat pe mauqoof nahin apni tabaahi
qismat ka likha bhi to sanwarne nahin deta
phoolon se vo har subh uda leta hai surkhi
be-rang kali ko bhi nikharne nahin deta
marham jise samjha tha zamaane ki nazar ne
bharte hue zakhamon ko bhi bharne nahin deta
har raah ko vo saanp ki maanind hai ghere
vo raahguzar se bhi guzarne nahin deta
imraan main ik umr se patthar ki tarah hoon
khushboo ki tarah mujh ko bikharna nahin deta
ग़म तेरा मुझे जाँ से गुज़रने नहीं देता
मरना भी अगर चाहूँ तो मरने नहीं देता
इक बूँद भी पायाब नज़र आती है अब तो
ये डर मुझे दरिया में उतरने नहीं देता
हालात पे मौक़ूफ़ नहीं अपनी तबाही
क़िस्मत का लिखा भी तो सँवरने नहीं देता
फूलों से वो हर सुब्ह उड़ा लेता है सुर्ख़ी
बे-रंग कली को भी निखरने नहीं देता
मरहम जिसे समझा था ज़माने की नज़र ने
भरते हुए ज़ख़्मों को भी भरने नहीं देता
हर राह को वो साँप की मानिंद है घेरे
वो राहगुज़र से भी गुज़रने नहीं देता
'इमरान' मैं इक उम्र से पत्थर की तरह हूँ
ख़ुश्बू की तरह मुझ को बिखरने नहीं देता
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on All Imran
As you were reading Kismat Shayari Shayari