hisaar-e-aashiqi mein vajd ki haalat mein rehta hoon
bahaarein mujh mein khema-zan hain main raahat mein rehta hoon
kabhi masroof tha main aaj-kal furqat mein rehta hoon
akela hoon so apni zaat ki wusa'at mein rehta hoon
jo tu ne aag bakshi hai usi mein jal raha hoon main
hai tere qurb ki chaahat isee chaahat mein rehta hoon
na kuchh paane ki hasrat hai na kuchh khone ka khatra hai
bahut be-khauf ho kar main tiri sohbat mein rehta hoon
nikal aaya hoon main khuddaar duniya ke jhmelon se
nayi bedaariyaan hain fikr ki jannat mein rehta hoon
हिसार-ए-आशिक़ी में वज्द की हालत में रहता हूँ
बहारें मुझ में ख़ेमा-ज़न हैं मैं राहत में रहता हूँ
कभी मसरूफ़ था मैं आज-कल फ़ुर्सत में रहता हूँ
अकेला हूँ सो अपनी ज़ात की वुसअ'त में रहता हूँ
जो तू ने आग बख़्शी है उसी में जल रहा हूँ मैं
है तेरे क़ुर्ब की चाहत इसी चाहत में रहता हूँ
न कुछ पाने की हसरत है न कुछ खोने का ख़तरा है
बहुत बे-ख़ौफ़ हो कर मैं तिरी सोहबत में रहता हूँ
निकल आया हूँ मैं 'आलोक' दुनिया के झमेलों से
नई बेदारियाँ हैं फ़िक्र की जन्नत में रहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alok Yadav
our suggestion based on Alok Yadav
As you were reading Sad Shayari Shayari