yahan ho raheen hain wahan ho raheen hain | यहाँ हो रहीं हैं वहाँ हो रहीं हैं

  - Alok Yadav

yahan ho raheen hain wahan ho raheen hain
nihaan theen jo baatein ayaan ho raheen hain

iraade hamaare duaaein tumhaari
hawaaein hi khud baadbaan ho raheen hain

lutaai kisi ne jawaani watan pe
dishaaein bhi shehnaaiyaan ho raheen hain

kai aasmaan aa gire hain zameen par
zameenen kai aasmaan ho raheen hain

raqeebon talak kaise pahunchee vo baatein
jo tere mere darmiyaan ho raheen hain

koi phool devi ke charnon tak aaya
kahi muntashir pattiyaan ho raheen hain

यहाँ हो रहीं हैं वहाँ हो रहीं हैं
निहाँ थीं जो बातें अयाँ हो रहीं हैं

इरादे हमारे दुआएँ तुम्हारी
हवाएँ ही ख़ुद बादबाँ हो रहीं हैं

लुटाई किसी ने जवानी वतन पे
दिशाएँ भी शहनाइयाँ हो रहीं हैं

कई आसमाँ आ गिरे हैं ज़मीं पर
ज़मीनें कई आसमाँ हो रहीं हैं

रक़ीबों तलक कैसे पहुँची वो बातें
जो तेरे मिरे दरमियाँ हो रहीं हैं

कोई फूल देवी के चरनों तक आया
कहीं मुंतशिर पत्तियाँ हो रहीं हैं

  - Alok Yadav

Sarhad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alok Yadav

As you were reading Shayari by Alok Yadav

Similar Writers

our suggestion based on Alok Yadav

Similar Moods

As you were reading Sarhad Shayari Shayari