khula hai zeest ka ik khushnuma varq phir se
hawa-e-shauq ne ki hai yahan pe daq phir se
pukaarta hai mujhe kaun mere maazi se
ki aaj rukh pe mere chha gai shafaq phir se
khafa khafa se hain aakhir janaab-e-naaseh kyun
kisi ne kar diya kya aaj zikr-e-haq phir se
kisi se rooth gaye ya kisi ka dil toda
jabeen pe aa gaya kyun aap ki arq phir se
miyaan-e-dil koi leti hai tees angadaai
wahi hai ranj wahi gham wahi qalq phir se
na niklo chaandni raaton mein kitni baar kaha
hua hai chaand ke chehre ka rang faq phir se
bas ek tajurba kaafi hai zindagi ke liye
padha na jaayega ham se wahi sabq phir se
yahi nizaam-e-zamaana yahi taghayyur hai
jo sahal hai wahi ho jaayega adaq phir se
kahi qareeb hi baadal barsate hain khuddaar
hawaaein laai hain khunkee ki kuchh ramq phir se
खुला है ज़ीस्त का इक ख़ुशनुमा वरक़ फिर से
हवा-ए-शौक़ ने की है यहाँ पे दक़ फिर से
पुकारता है मुझे कौन मेरे माज़ी से
कि आज रुख़ पे मिरे छा गई शफ़क़ फिर से
ख़फ़ा ख़फ़ा से हैं आख़िर जनाब-ए-नासेह क्यूँ
किसी ने कर दिया क्या आज ज़िक्र-ए-हक़ फिर से
किसी से रूठ गए या किसी का दिल तोड़ा
जबीं पे आ गया क्यूँ आप की अरक़ फिर से
मियान-ए-दिल कोई लेती है टीस अंगड़ाई
वही है रंज वही ग़म वही क़लक़ फिर से
न निकलो चाँदनी रातों में कितनी बार कहा
हुआ है चाँद के चेहरे का रंग फ़क़ फिर से
बस एक तजरबा काफ़ी है ज़िंदगी के लिए
पढ़ा न जाएगा हम से वही सबक़ फिर से
यही निज़ाम-ए-ज़माना यही तग़य्युर है
जो सहल है वही हो जाएगा अदक़ फिर से
कहीं क़रीब ही बादल बरसते हैं 'आलोक'
हवाएँ लाई हैं ख़ुनकी की कुछ रमक़ फिर से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alok Yadav
our suggestion based on Alok Yadav
As you were reading Life Shayari Shayari