ye raaste ye nazaare bahaar ka aalam | ये रास्ते ये नज़ारे बहार का आलम - Alok Yadav

ye raaste ye nazaare bahaar ka aalam
tire baghair dil-e-be-qaraar ka aalam

dhadak uthe hai tira zikr bhi agar aaye
ye mere dil pe tire ikhtiyaar ka aalam

tujhe khayal bhi aaye na door jaane ka
jo dekh le tu mere intizaar ka aalam

hasad na ho jo raqeebon ke saath bhi dekhoon
tiri wafa pe mere e'tibaar ka aalam

kabhi to aaye rulaane mujhe koi khuddaar
kabhi to ho mere dil mein qaraar ka aalam

ये रास्ते ये नज़ारे बहार का आलम
तिरे बग़ैर दिल-ए-बे-क़रार का आलम

धड़क उठे है तिरा ज़िक्र भी अगर आए
ये मिरे दिल पे तिरे इख़्तियार का आलम

तुझे ख़याल भी आए न दूर जाने का
जो देख ले तू मिरे इंतिज़ार का आलम

हसद न हो जो रक़ीबों के साथ भी देखूँ
तिरी वफ़ा पे मिरे ए'तिबार का आलम

कभी तो आए रुलाने मुझे कोई 'आलोक'
कभी तो हो मिरे दिल में क़रार का आलम

- Alok Yadav
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alok Yadav

As you were reading Shayari by Alok Yadav

Similar Writers

our suggestion based on Alok Yadav

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari