khuda ko aazmaana chahta hoon
main ye duniya jalana chahta hoon
kisi sha'ir se us ki zindagi ke
main saare gham churaana chahta hoon
main rooh-e-'jaun ko jannat mein ja kar
gale kas kar lagana chahta hoon
tiri chat par tange sab pairhan se
tiri khushboo churaana chahta hoon
faqat madhosh ho kar kya maza hai
main pee kar ladkhadana chahta hoon
ghadi ke kaanton ko ulta ghuma kar
samay ko main bachaana chahta hoon
shajar ko kaat kar main khoob roya
main apna ghar banaana chahta hoon
naye haathon mein main pustak thama kar
sabhi sarhad mitaana chahta hoon
use kah kar ki ab bhi hai mohabbat
main us ka dil dukhaana chahta hoon
kisi ma'soom bacche ki tarah main
khuda ko sab bataana chahta hoon
ख़ुदा को आज़माना चाहता हूँ
मैं ये दुनिया जलाना चाहता हूँ
किसी शाइ'र से उस की ज़िंदगी के
मैं सारे ग़म चुराना चाहता हूँ
मैं रूह-ए-'जौन' को जन्नत में जा कर
गले कस कर लगाना चाहता हूँ
तिरी छत पर टँगे सब पैरहन से
तिरी ख़ुशबू चुराना चाहता हूँ
फ़क़त मदहोश हो कर क्या मज़ा है
मैं पी कर लड़खड़ाना चाहता हूँ
घड़ी के काँटों को उल्टा घुमा कर
समय को मैं बचाना चाहता हूँ
शजर को काट कर मैं ख़ूब रोया
मैं अपना घर बनाना चाहता हूँ
नए हाथों में मैं पुस्तक थमा कर
सभी सरहद मिटाना चाहता हूँ
उसे कह कर की अब भी है मोहब्बत
मैं उस का दिल दुखाना चाहता हूँ
किसी मा'सूम बच्चे की तरह मैं
ख़ुदा को सब बताना चाहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambuj Shrivastava
our suggestion based on Ambuj Shrivastava
As you were reading Kitab Shayari Shayari