hai mu'ammaa meri mohabbat bhi
shukr ke saath hai shikaayat bhi
dil ko pyaari hai jis ki nafrat bhi
kya ho gar vo kare mohabbat bhi
dushman-e-e'tibaar hoti hai
baaz haalaat mein haqeeqat bhi
isee maamure mein bana li hai
saada-lohon ne apni jannat bhi
is mohabbat pe naaz kya kijeye
ho mili jis mein kuchh muravvat bhi
aag dil ki kisi tarah na bujhi
pee ke dekhi may-e-mohabbat bhi
tere kooche mein jaayen kis munh se
kho chuke ham tiri amaanat bhi
ho basaarat se kya umeed raza
dhoke deti hai jab baseerat bhi
है मुअ'म्मा मिरी मोहब्बत भी
शुक्र के साथ है शिकायत भी
दिल को प्यारी है जिस की नफ़रत भी
क्या हो गर वो करे मोहब्बत भी
दुश्मन-ए-ए'तिबार होती है
बाज़ हालात में हक़ीक़त भी
इसी मामूरे में बना ली है
सादा-लौहों ने अपनी जन्नत भी
इस मोहब्बत पे नाज़ क्या कीजे
हो मिली जिस में कुछ मुरव्वत भी
आग दिल की किसी तरह न बुझी
पी के देखी मय-ए-मोहब्बत भी
तेरे कूचे में जाएँ किस मुँह से
खो चुके हम तिरी अमानत भी
हो बसारत से क्या उमीद 'रज़ा'
धोके देती है जब बसीरत भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Raza Mazhari
our suggestion based on Ameer Raza Mazhari
As you were reading Aanch Shayari Shayari