yun wafa aazmaai jaati hai | यूँ वफ़ा आज़माई जाती है

  - Ameer Raza Mazhari

yun wafa aazmaai jaati hai
dil ki rag rag dikhaai jaati hai

apni soorat ke aaine mein mujhe
meri soorat dikhaai jaati hai

ek halki si muskuraahat se
nayi duniya banaai jaati hai

na bane baat kuchh to hans dena
baat yun bhi banaai jaati hai

jalne waala jale dhuaan bhi na ho
aag yun bhi lagaaee jaati hai

jaane waale tujhe khabar bhi hai
ik qayamat si aayi jaati hai

chashm-e-ummeed tujh ko us ki shakl
door se phir dikhaai jaati hai

dil ki chhoti si ik kahaani thi
khatm par vo bhi aayi jaati hai

vo jo chamka tha ik sitaara sa
ik ghatta us pe chhaai jaati hai

dil pe ubhri thi vo jo ik tasveer
kitni jaldi mitaai jaati hai

lau lagaaee thi sham-e-mahfil se
vo bhi ab jhilmilaai jaati hai

doosron se raza kisi ki yaad
kis tarah se bhulaai jaati hai

यूँ वफ़ा आज़माई जाती है
दिल की रग रग दिखाई जाती है

अपनी सूरत के आइने में मुझे
मेरी सूरत दिखाई जाती है

एक हल्की सी मुस्कुराहट से
नई दुनिया बनाई जाती है

न बने बात कुछ तो हँस देना
बात यूँ भी बनाई जाती है

जलने वाला जले धुआँ भी न हो
आग यूँ भी लगाई जाती है

जाने वाले तुझे ख़बर भी है
इक क़यामत सी आई जाती है

चश्म-ए-उम्मीद तुझ को उस की शक्ल
दूर से फिर दिखाई जाती है

दिल की छोटी सी इक कहानी थी
ख़त्म पर वो भी आई जाती है

वो जो चमका था इक सितारा सा
इक घटा उस पे छाई जाती है

दिल पे उभरी थी वो जो इक तस्वीर
कितनी जल्दी मिटाई जाती है

लौ लगाई थी शम-ए-महफ़िल से
वो भी अब झिलमिलाई जाती है

दूसरों से 'रज़ा' किसी की याद
किस तरह से भुलाई जाती है

  - Ameer Raza Mazhari

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Raza Mazhari

As you were reading Shayari by Ameer Raza Mazhari

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Raza Mazhari

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari