jaise shaakhon se patte lage rahte hain
is tarah se hi ghar ke bade rahte hain
jaante hai ki duniya hai ye matlabi
phir bhi uske liye ham khade rahte hain
us ka ye dil use ishq ho ya na ho
apni jaanib se ham to lage rahte hain
main bitha leta hoon paas tanhaai ko
dono phir der tak bas pade rahte hain
zindagi muflisi pe tamaacha hai ik
hisse jinke sabhi dukh jade rahte hain
aate honge sunhare tumhein khwaab par
der tak subah ham to jage rahte hain
isliye ab bharosa hain ghairon se ab
ab kahaan achhe se bhi sage rahte hain
जैसे शाख़ों से पत्ते लगे रहते हैं
इस तरह से ही घर के बड़े रहते हैं
जानते है कि दुनिया है ये मतलबी
फिर भी उसके लिए हम खड़े रहते हैं
उस का ये दिल उसे इश्क़ हो या न हो
अपनी जानिब से हम तो लगे रहते हैं
मैं बिठा लेता हूँ पास तन्हाई को
दोनो फिर देर तक बस पड़े रहते हैं
ज़िंदगी मुफ़लिसी पे तमाचा है इक
हिस्से जिनके सभी दुख़ जड़े रहते हैं
आते होंगे सुनहरे तुम्हें ख़्वाब पर
देर तक सुब्ह हम तो जगे रहते हैं
इसलिए अब भरोसा हैं ग़ैरों से अब
अब कहाँ अच्छे से भी सगे रहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amit Kumar
our suggestion based on Amit Kumar
As you were reading Aasra Shayari Shayari