aur bhi kuchh ho inaayat ke liye
zindagi kam hai mohabbat ke liye
theek hai husn-parasti bhi magar
koi chehra nahin nafrat ke liye
raat-din kaam pade rahte hain
waqt milta nahin furqat ke liye
zulm ke shehar mein insaaf kahaan
muntazir ham hain qayamat ke liye
vo takalluf hi se milta hai hamein
dil machalta hai sharaarat ke liye
log karte hain wafa ka shikwa
ham tarsate hain muravvat ke liye
kis tarah baat chalegi aage
hum-sukhan chup hai shikaayat ke liye
kaun rishton ko nibhaata hai amr
har ta'alluq hai zaroorat ke liye
और भी कुछ हो इनायत के लिए
ज़िंदगी कम है मोहब्बत के लिए
ठीक है हुस्न-परस्ती भी मगर
कोई चेहरा नहीं नफ़रत के लिए
रात-दिन काम पड़े रहते हैं
वक़्त मिलता नहीं फ़ुर्सत के लिए
ज़ुल्म के शहर में इंसाफ़ कहाँ
मुंतज़िर हम हैं क़यामत के लिए
वो तकल्लुफ़ ही से मिलता है हमें
दिल मचलता है शरारत के लिए
लोग करते हैं वफ़ा का शिकवा
हम तरसते हैं मुरव्वत के लिए
किस तरह बात चलेगी आगे
हम-सुख़न चुप है शिकायत के लिए
कौन रिश्तों को निभाता है 'अम्र'
हर तअ'ल्लुक़ है ज़रूरत के लिए
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Amr Mahki
As you were reading Waqt Shayari Shayari