main usoolon se bagaavat nahin karne waali
kabhi tauheen-e-mohabbat nahin karne waali
mujh ko nazaanaa-e-dil pesh na kijeye sahab
har kisi se main mohabbat nahin karne waali
jo sharaafat ki hadon mein kabhi rahte hi nahin
aise logon ki main izzat nahin karne waali
tu ne dil tod diya kar diya mahroom-e-wafa
phir bhi main teri shikaayat nahin karne waali
khoon-e-mazloom se jo pyaas bujhaayein apni
main kabhi un ki himayat nahin karne waali
mere dil ne jise chaaha wahi sab kuchh hai mera
main mohabbat ki tijaarat nahin karne waali
ai ana meri tabeeyat mein hai shokhi lekin
dil-shikan koi sharaarat nahin karne waali
मैं उसूलों से बग़ावत नहीं करने वाली
कभी तौहीन-ए-मोहब्बत नहीं करने वाली
मुझ को नज़राना-ए-दिल पेश न कीजे साहब
हर किसी से मैं मोहब्बत नहीं करने वाली
जो शराफ़त की हदों में कभी रहते ही नहीं
ऐसे लोगों की मैं इज़्ज़त नहीं करने वाली
तू ने दिल तोड़ दिया कर दिया महरूम-ए-वफ़ा
फिर भी मैं तेरी शिकायत नहीं करने वाली
ख़ून-ए-मज़लूम से जो प्यास बुझाएँ अपनी
मैं कभी उन की हिमायत नहीं करने वाली
मेरे दिल ने जिसे चाहा वही सब कुछ है मिरा
मैं मोहब्बत की तिजारत नहीं करने वाली
ऐ 'अना' मेरी तबीअत में है शोख़ी लेकिन
दिल-शिकन कोई शरारत नहीं करने वाली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ana Dehlvi
our suggestion based on Ana Dehlvi
As you were reading Haya Shayari Shayari