khushi se rabt na rakh gham se silsila na mila | ख़ुशी से रब्त न रख ग़म से सिलसिला न मिला

  - Ana Dehlvi

khushi se rabt na rakh gham se silsila na mila
dava mein zahar mila zahar mein dava na mila

main apna pyaar bhara dil kisi ko kya deti
tumhaare jaisa haseen koi doosra na mila

bahut talash kiya ham ne shehr-o-sehra mein
khuda ke chaahne waale mile khuda na mila

jamee thi gard-e-hawas doston ke chehron par
b-qadr-e-zarf-e-nazar koi aashna na mila

meri ana ke shajar is qadar ghanere the
hawa chali to hawa ko bhi raasta na mila

ख़ुशी से रब्त न रख ग़म से सिलसिला न मिला
दवा में ज़हर मिला ज़हर में दवा न मिला

मैं अपना प्यार भरा दिल किसी को क्या देती
तुम्हारे जैसा हसीं कोई दूसरा न मिला

बहुत तलाश किया हम ने शहर-ओ-सहरा में
ख़ुदा के चाहने वाले मिले ख़ुदा न मिला

जमी थी गर्द-ए-हवस दोस्तों के चेहरों पर
ब-क़द्र-ए-ज़र्फ़-ए-नज़र कोई आश्ना न मिला

मिरी 'अना' के शजर इस क़दर घनेरे थे
हवा चली तो हवा को भी रास्ता न मिला

  - Ana Dehlvi

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ana Dehlvi

As you were reading Shayari by Ana Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Ana Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari