junoon ki hadon se guzarna nahin hai
mohabbat mein jeena hai marna nahin hai
hamaare muqaddar mein jab tum nahin to
kisi ke liye ab sanwarna nahin hai
mujhe sirf tum dekh sakte ho lekin
gunaahon ki tah mein utarna nahin hai
mujhe tum khilauna samjhte ho samjho
mujhe toot kar ab bikhrna nahin hai
ye tay kar liya hai kisi haal mein bhi
tamannaon ka khoon karna nahin hai
main jis ki hoon us ki rahoongi hamesha
kisi aur par mujh ko marna nahin hai
ana main to bahti hui ik nadi hoon
kisi ke liye bhi theharna nahin hai
जुनूँ की हदों से गुज़रना नहीं है
मोहब्बत में जीना है मरना नहीं है
हमारे मुक़द्दर में जब तुम नहीं तो
किसी के लिए अब सँवरना नहीं है
मुझे सिर्फ़ तुम देख सकते हो लेकिन
गुनाहों की तह में उतरना नहीं है
मुझे तुम खिलौना समझते हो समझो
मुझे टूट कर अब बिखरना नहीं है
ये तय कर लिया है किसी हाल में भी
तमन्नाओं का ख़ून करना नहीं है
मैं जिस की हूँ उस की रहूँगी हमेशा
किसी और पर मुझ को मरना नहीं है
'अना' मैं तो बहती हुई इक नदी हूँ
किसी के लिए भी ठहरना नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ana Dehlvi
our suggestion based on Ana Dehlvi
As you were reading Self respect Shayari Shayari